pa-ba-gil
ik bhikārī kī mānind
ik peḌ vīrān se rāste par khaḌā hai
koī bhūlā-bhaTkā musāfir jo guzre kabhī
ek pal ko ruke
narm chhāñv meñ dam le zarā
aur chaltā bane
rahguzar par vo be-āsrā peḌ chup-chāp taktā rahe
apne dāman ko phailā.e
har jaane vaale musāfir ko shāḳheñ pukāreñ
magar kaun aa.e
ek bhikari ki manind
ek peD viran se raste par khaDa hai
koi bhula-bhaTka musafir jo guzre kabhi
ek pal ko ruke
narm chhanw mein dam le zara
aur chalta bane
rahguzar par wo be-asra peD chup-chap takta rahe
apne daman ko phailae
har jaane wale musafir ko shaKHen pukaren
magar kaun aae
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 210)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.