pabandi
mire aaqā ko gila hai ki mirī haq-goī
raaz kyuuñ kholtī hai
aur maiñ pūchhtā huuñ terī siyāsat fan meñ
zahr kyuuñ gholtī hai
maiñ vo motī na banūñgā jise sāhil kī havā
raat din roltī hai
yuuñ bhī hotā ki āñdhī ke muqābil chiḌiyā
apne par taultī hai
ik bhaḌakte hue sho'le pe Tapak jaa.e agar
buuñd bhī boltī hai
mere aaqa ko gila hai ki meri haq-goi
raaz kyun kholti hai
aur main puchhta hun teri siyasat fan mein
zahr kyun gholti hai
main wo moti na banunga jise sahil ki hawa
raat din rolti hai
yun bhi hota ki aandhi ke muqabil chiDiya
apne par taulti hai
ek bhaDakte hue sho'le pe Tapak jae agar
bund bhi bolti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.