Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

padash

Shakeb Jalali

padash

Shakeb Jalali

MORE BYShakeb Jalali

    kabhī is subuk-rau nadī ke kināre ga.e nahīñ ho

    tumheñ kyā ḳhabar hai

    vahāñ an-ginat khurdure pattharoñ ko

    sajal pāniyoñ ne

    mulā.em rasīle, madhur giit kar

    amiT chiknī golā.iyoñ ko adā sauñp hai

    vo patthar nahīñ thā

    jise tum ne be-Dol, an-ghaḌ samajh kar

    purānī chaTānoñ se Takrā ke toḌā

    ab us ke sulagte tarāshe

    agar paañv meñ chubh ga.e haiñ to kyuuñ chīḳhte ho?

    kabhi is subuk-rau nadi ke kinare gae hi nahin ho

    tumhein kya KHabar hai

    wahan an-ginat khurdure pattharon ko

    sajal paniyon ne

    mulaem rasile, madhur git ga kar

    amiT chikni golaiyon ko ada saunp di hai

    wo patthar nahin tha

    jise tum ne be-Dol, an-ghaD samajh kar

    purani chaTanon se Takra ke toDa

    ab us ke sulagte tarashe

    agar panw mein chubh gae hain to kyun chiKHte ho?

    RECITATIONS

    Javed Naseem

    Javed Naseem,

    Javed Naseem

    kabhii is subuk-rau nadii ke kinaare ga.e hii nahii.n ho - shakeb jalali Javed Naseem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now