pagal aurat
ek javān sī aur dīvānī aurat ko
maiñ ne saḌak par aksar ghūmte dekhā hai
gaah kisī saa.e kī taraf masrūf-e-ḳhirām
aur kabhī vahshat meñ jhūmte dekhā hai
us kī surḳh āñkhoñ meñ pāgal-pan ke sivā
aur bhī kuchh hai jis kā koī naam nahīñ
ik aisī bedārī us par taarī hai
jis ke muqaddar meñ ab koī shaam nahīñ
us ke patthar jaise chup-chup chehre par
ik sañgīn udāsī nāchtī rahtī hai!
us kī soī soī gahrī palkoñ meñ
rātoñ kī tārīkī jāgtī rahtī hai!
us ke māthe par bikhrī zulfoñ kā dhuāñ
jaise ḳhatm na hone vaalā chāñd gahan
kyā jaane kis aañkh se TuuTā taarā hai
kyā jaane kis sūraj kī āvāra kiran
kyā jaane kis kī beTī hai kis kī bahan
kyā jaane kis baap kā dil kis maañ kā nuur
ek bagūla apne vīrāne se judā
ek bhaTaktī ruuh apne marqad se duur
vo fōtpath pe aur kabhī shahrāhoñ par
kyā jaane kis dhun meñ tanhā phirtī hai
shab ko āḳhir bār-e-masāfat se thak kar
kyā jaane kis goshe meñ jā girtī hai
koī sharī.at jis se nahīñ le saktī hisāb
jis kā dil nekī se ḳhālī hai
jaane kis sag-zāda ḳhabāsat ke hāthoñ
ab vo bachche kī maañ banñe vaalī hai!
ek jawan si aur diwani aurat ko
main ne saDak par aksar ghumte dekha hai
gah kisi sae ki taraf masruf-e-KHiram
aur kabhi wahshat mein jhumte dekha hai
us ki surKH aankhon mein pagal-pan ke siwa
aur bhi kuchh hai jis ka koi nam nahin
ek aisi bedari us par tari hai
jis ke muqaddar mein ab koi sham nahin
us ke patthar jaise chup-chup chehre par
ek sangin udasi nachti rahti hai!
us ki soi soi gahri palkon mein
raaton ki tariki jagti rahti hai!
us ke mathe par bikhri zulfon ka dhuan
jaise KHatm na hone wala chand gahan
kya jaane kis aankh se TuTa tara hai
kya jaane kis suraj ki aawara kiran
kya jaane kis ki beTi hai kis ki bahan
kya jaane kis bap ka dil kis man ka nur
ek bagula apne virane se juda
ek bhaTakti ruh apne marqad se dur
wo footpath pe aur kabhi shahrahon par
kya jaane kis dhun mein tanha phirti hai
shab ko aaKHir bar-e-masafat se thak kar
kya jaane kis goshe mein ja girti hai
koi shariat jis se nahin le sakti hisab
jis ka dil neki se KHali hai
jaane kis sag-zada KHabasat ke hathon
ab wo bachche ki man banne wali hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.