pagal hosh
jab dard kī lahreñ Duub ga.iiñ
jab āñkheñ chehra bhuul ga.iiñ
tum soch ke āñgan meñ kaise
phir yaad ke ghuñgrū le aa.e
maiñ kaisī mahak se pāgal huuñ
phir raqs-e-junūñ meñ shāmil huuñ
phir chehra chehra terā chehra
phir aañkh meñ terī āñkhoñ kā
pur-kaif nazāra jhuum uThā
phir saarā zamāna jhuum uThā
kab raat ga.ī kab din jaagā
kuchh hosh nahīñ, kuchh hosh nahīñ
jab dard ki lahren Dub gain
jab aankhen chehra bhul gain
tum soch ke aangan mein kaise
phir yaad ke ghungru le aae
main kaisi mahak se pagal hun
phir raqs-e-junun mein shamil hun
phir chehra chehra tera chehra
phir aankh mein teri aankhon ka
pur-kaif nazara jhum uTha
phir sara zamana jhum uTha
kab raat gai kab din jaga
kuchh hosh nahin, kuchh hosh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.