pagal laDki
apnī mohabbat ke haañ karne
chhup ke nikāh ke do boloñ par ḳhush hone aur
us hī ḳhushī meñ apne hāthoñ ko mehñdī se rañgne vaalī
har-pal shoḳhī se muskātī pāgal laḌkī
is mehñdī kā rañg phīkā paḌne se pahle
tere sayyāñ
chhoḌ ke baiyyāñ
apnī ek na.ī duniyā meñ magan hue haiñ
ik do din meñ tujh se jo kuchh lenā hai vo sab kuchh le kar
aur talāq kī kālak tere muñh par mal kar
mahr ke naam par ehsāñ kar ke
tujh ko aisā zer kareñge ki sab shoḳhī
āñkhoñ meñ maujūd ye mastī
terī hastī
sab kuchh bas ik pal meñ ulTā ho jā.egā
terī qismat ke dukh jitne sanjīda haiñ
pāgal laḌkī
tū bhī yak-dam vaisī hī sanjīda hogī
apni mohabbat ke han karne
chhup ke nikah ke do bolon par KHush hone aur
us hi KHushi mein apne hathon ko mehndi se rangne wali
har-pal shoKHi se muskati pagal laDki
is mehndi ka rang phika paDne se pahle
tere sayyan
chhoD ke baiyyan
apni ek nai duniya mein magan hue hain
ek do din mein tujh se jo kuchh lena hai wo sab kuchh le kar
aur talaq ki kalak tere munh par mal kar
mahr ke nam par ehsan kar ke
tujh ko aisa zer karenge ki sab shoKHi
aankhon mein maujud ye masti
teri hasti
sab kuchh bas ek pal mein ulTa ho jaega
teri qismat ke dukh jitne sanjida hain
pagal laDki
tu bhi yak-dam waisi hi sanjida hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.