pani ki aawaz
har raat niim ġhunūdgī meñ
mere kānoñ meñ
bārish kī āvāz aatī rahtī hai
maiñ chauñk uThtā huuñ
khiḌkī se parda sarkāte hue bāhar jhāñktā huuñ!
din chaḌhe kī dhuup mujh par tanz kartī hai
maiñ jaldī se...
washrōm meñ dekhtā huuñ
shāyad raat koī nal khulā rah gayā ho
tab zor zor se
tanhā.ī mujh par hañsne lagtī hai
maiñ ḳhajālat oḌh kar
apne bhīge hue bistar par karvaT badal kar
phir se ūñghne lagtā huuñ
paanī kī āvāz
Tap Tap Tap.... mere vijdān meñ
girtī rahtī hai!
har raat nim ghunudgi mein
mere kanon mein
barish ki aawaz aati rahti hai
main chaunk uThta hun
khiDki se parda sarkate hue bahar jhankta hun!
din chaDhe ki dhup mujh par tanz karti hai
main jaldi se
washroom mein dekhta hun
shayad raat koi nal khula rah gaya ho
tab zor zor se
tanhai mujh par hansne lagti hai
main KHajalat oDh kar
apne bhige hue bistar par karwaT badal kar
phir se unghne lagta hun
pani ki aawaz
Tap Tap Tap mere wijdan mein
girti rahti hai!
- Book : Aik Qadeem Khayal Ki Nigrani Mein (Pg. 31)
- Author : Anjum Saleemi
- Publication : Hum Khayal Foundation, Faisalabad (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.