pani pani
abr se ek din ye havā ne kahā
maiñ to peḌoñ se patte churā laa.ī huuñ
tund vahshī bagūle uḌā laa.ī huuñ
mujh meñ tāqat hai is se ye sābit huā
sāñvle ho salone ho chanchal ho tum
mast be-fikr āvāra bādal ho tum
kitne bechain ho kaise be-kal ho tum
aaj sūraj kī pagḌī uchhālo zarā
sun ke ye abr kī aql jaatī rahī
yuuñ hī is ko havā gudgudātī rahī
aur ḳhud man hī man muskurātī rahī
us ke aage kā dilchasp hai mājrā
abr kī aa.ī shāmat to sar ho ga.ī
būḌhe sūraj ko lekin ḳhabar ho ga.ī
vo paḌī maar sīdhī kamar ho ga.ī
paanī paanī vahīñ sharm se ho gayā
abr se ek din ye hawa ne kaha
main to peDon se patte chura lai hun
tund wahshi bagule uDa lai hun
mujh mein taqat hai is se ye sabit hua
sanwle ho salone ho chanchal ho tum
mast be-fikr aawara baadal ho tum
kitne bechain ho kaise be-kal ho tum
aaj suraj ki pagDi uchhaalo zara
sun ke ye abr ki aql jati rahi
yun hi is ko hawa gudgudati rahi
aur KHud man hi man muskuraati rahi
us ke aage ka dilchasp hai majra
abr ki aai shamat to sar ho gai
buDhe suraj ko lekin KHabar ho gai
wo paDi mar sidhi kamar ho gai
pani pani wahin sharm se ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.