pani
paanī paanī
har sū paanī
paanī be-hai.at be-sūrat
sāġhar meñ sāġhar ban jaa.e
phūloñ par ye shabnam
āñkhoñ meñ ye aañsū
uḌ jaa.e to bādal
bah jaa.e to dariyā
phaile to ik sāgar
paanī be-hai.at be-sūrat
paanī
devtāoñ kā ek muqaddas ras hai
ziist kā bahtā dhārā
chāñdī kī kashtī kā jhūlā
maiñ bhī paanī
naddī ban kar bahtā jā.ūñ
saḳht chaTānoñ kā dil chīrūñ
dhartī ke hāthoñ par rekhā khīñchūñ
pani pani
har su pani
pani be-haiat be-surat
saghar mein saghar ban jae
phulon par ye shabnam
aankhon mein ye aansu
uD jae to baadal
bah jae to dariya
phaile to ek sagar
pani be-haiat be-surat
pani
dewtaon ka ek muqaddas ras hai
zist ka bahta dhaara
chandi ki kashti ka jhula
main bhi pani
naddi ban kar bahta jaun
saKHt chaTanon ka dil chirun
dharti ke hathon par rekha khinchun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.