Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pani

MORE BYAkhtar Bastavi

    paanī se huvaidā hotī hai duniyā meñ ḳhudā rahmat bhī

    paanī meñ dikhā.ī detī hai tasvīr-e-azāb-o-la.anat bhī

    paanī badaulat miltī hai insāñ ko ġhizā ne.amat bhī

    sailāb sūrat meñ paanī laatā hai jahāñ par aafat bhī

    ik jhiil ke gahre paanī par is vaqt jamī hai merī nazar

    afkār haiñ Dāñvā-Dol mire jazbāt haiñ mere zer-o-zabar

    maiñ ḳhushī ḳhushī utrūñ is meñ aur sat.h pe tairūñ hañs hañs kar

    Duub ke is lahroñ meñ jā.ūñ ġham-e-hastī se mafar

    pani se huwaida hoti hai duniya mein KHuda ki rahmat bhi

    pani mein dikhai deti hai taswir-e-azab-o-lanat bhi

    pani ki badaulat milti hai insan ko ghiza ki neamat bhi

    sailab ki surat mein pani lata hai jahan par aafat bhi

    ek jhil ke gahre pani par is waqt jami hai meri nazar

    afkar hain Danwa-Dol mere jazbaat hain mere zer-o-zabar

    main KHushi KHushi utrun is mein aur sath pe tairun hans hans kar

    ya Dub ke is ki lahron mein pa jaun gham-e-hasti se mafar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now