pani
paanī se huvaidā hotī hai duniyā meñ ḳhudā kī rahmat bhī
paanī meñ dikhā.ī detī hai tasvīr-e-azāb-o-la.anat bhī
paanī kī badaulat miltī hai insāñ ko ġhizā kī ne.amat bhī
sailāb kī sūrat meñ paanī laatā hai jahāñ par aafat bhī
ik jhiil ke gahre paanī par is vaqt jamī hai merī nazar
afkār haiñ DāñvāDol mire jazbāt haiñ mere zer-o-zabar
maiñ ḳhushī ḳhushī utrūñ is meñ aur sat.h pe tairūñ hañs hañs kar
yā Duub ke is kī lahroñ meñ pā jā.ūñ ġham-e-hastī se mafar
pani se huwaida hoti hai duniya mein KHuda ki rahmat bhi
pani mein dikhai deti hai taswir-e-azab-o-lanat bhi
pani ki badaulat milti hai insan ko ghiza ki neamat bhi
sailab ki surat mein pani lata hai jahan par aafat bhi
ek jhil ke gahre pani par is waqt jami hai meri nazar
afkar hain DanwaDol mere jazbaat hain mere zer-o-zabar
main KHushi KHushi utrun is mein aur sath pe tairun hans hans kar
ya Dub ke is ki lahron mein pa jaun gham-e-hasti se mafar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.