pap
burā na maano
namāzeñ ab bhī yahīñ paḌī haiñ
pe sajda-gāheñ uThā ke jaane kidhar chale the
vo sub.h tum ko bhī yaad hogī
alag the ghar aur alaihida chūlhe
tumhāre parcham kā rañg alag thā
vatan tumhārā nayā nayā thā
sabhī to bāñTā thā aadhā aadhā
magar paḌī haiñ vahāñ pe ab tak
hamārī rādhā kī ek paa.el
hamāre kirishnā kī ek bansī
pa 'hīr' kaise uThā ke de deñ
kahāñ se laa.eñ tumhārā rāñjhā
ki ham se pāgal
hisāb rakhte nahīñ dinoñ kā
hameñ to ye bhī pata nahīñ hai
ki āryā.ī se bābarī ham bane to kaise
hameñ to shañkh aur azaañ hai yaksāñ
hamārī tārīḳh ke kitne safhe
churā.e tum ne?
kahāñ kahāñ se nishāñ hamāre
miTā.e tum ne?
hamārī holī tumhāre bin hai udaas kitnī
tumheñ pata kyā
hamārī eidoñ ko tum se milne kī pyaas kitnī
kahāñ chale the uThā ke mimbar
kahāñ sajā.ī dukān tum ne
kahāñ pe beche haiñ maal kitne
kaho munāfā kamāyā kitnā
hamāre jaise
tumhāre jaise
ḳhudā ke bande
jo apne hisse kā paanī
khodeñ kuaañ to paa.eñ
jo apne tan ko dhuāñ banā.eñ to roTī khā.eñ
hameñ lakīroñ ke khel se kyā
hameñ tijārat se vāsta kab
jinheñ thā suud o ziyāñ se matlab
vo kārobār-e-jahāñ se ruḳhsat
pa aag ab bhī bhaḌak rahī hai
chalo buzurgoñ kā paap dho.eñ
hamāre mandir sambhālo tum sab
tumhārī masjid ke ham nigahbāñ
bura na mano
namazen ab bhi yahin paDi hain
pe sajda-gahen uTha ke jaane kidhar chale the
wo subh tum ko bhi yaad hogi
alag the ghar aur alaihida chulhe
tumhaare parcham ka rang alag tha
watan tumhaara naya naya tha
sabhi to banTa tha aadha aadha
magar paDi hain wahan pe ab tak
hamari radha ki ek pael
hamare kirishna ki ek bansi
pa 'hir' kaise uTha ke de den
kahan se laen tumhaara ranjha
ki hum se pagal
hisab rakhte nahin dinon ka
hamein to ye bhi pata nahin hai
ki aaryai se babari hum bane to kaise
hamein to shankh aur azan hai yaksan
hamari tariKH ke kitne safhe
churae tum ne?
kahan kahan se nishan hamare
miTae tum ne?
hamari holi tumhaare bin hai udas kitni
tumhein pata kya
hamari eidon ko tum se milne ki pyas kitni
kahan chale the uTha ke mimbar
kahan sajai dukan tum ne
kahan pe beche hain mal kitne
kaho munafa kamaya kitna
hamare jaise
tumhaare jaise
KHuda ke bande
jo apne hisse ka pani
khoden kuan to paen
jo apne tan ko dhuan banaen to roTi khaen
hamein lakiron ke khel se kya
hamein tijarat se wasta kab
jinhen tha sud o ziyan se matlab
wo karobar-e-jahan se ruKHsat
pa aag ab bhi bhaDak rahi hai
chalo buzurgon ka pap dhoen
hamare mandir sambhaalo tum sab
tumhaari masjid ke hum nigahban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.