papa miyan
Interesting Fact
(Shaikh Abdullah, Founder, Girls College Aligarh)
paapā miyāñ zamāne meñ kyā naam kar ga.e
tārīḳh-e-hind meñ vo nayā kaam kar ga.e
mahrūm-e-ilm-o-fan thiiñ musalmāñ thiiñ laḌkiyāñ
māhaul kī ghuTan se pareshāñ thiiñ laḌkiyāñ
ta.alīm auratoñ ko mile ye gunāh thā
kyā kahiye kaisā qaum kā hāl-e-tabāh thā
paapā miyāñ ke azm ne ye kar dikhāyā kaam
jis ko sabhī samajh rahe the ik ḳhayāl-e-ḳhām
kyā kyā muḳhālifat kā na tūfān sah ga.e
vo kar dikhāyā log sabhī dañg rah ga.e
begam bhī jān-o-dil se thiiñ un kī rafīq-e-kār
ehsān laḌkiyoñ pe haiñ un ke bhī be-shumār
paudā jo kal thā ab shajar-e-sāya-dār hai
paapā miyāñ ke baaġh meñ kaisī bahār hai
phūlā-phalā rahe ye gulistān-e-ilm-o-fan
qaa.em rahe zamāne meñ paapā kī anjuman
papa miyan zamane mein kya nam kar gae
tariKH-e-hind mein wo naya kaam kar gae
mahrum-e-ilm-o-fan thin musalman thin laDkiyan
mahaul ki ghuTan se pareshan thin laDkiyan
talim auraton ko mile ye gunah tha
kya kahiye kaisa qaum ka haal-e-tabah tha
papa miyan ke azm ne ye kar dikhaya kaam
jis ko sabhi samajh rahe the ek KHayal-e-KHam
kya kya muKHalifat ka na tufan sah gae
wo kar dikhaya log sabhi dang rah gae
begam bhi jaan-o-dil se thin un ki rafiq-e-kar
ehsan laDkiyon pe hain un ke bhi be-shumar
pauda jo kal tha ab shajar-e-saya-dar hai
papa miyan ke bagh mein kaisi bahaar hai
phula-phala rahe ye gulistan-e-ilm-o-fan
qaem rahe zamane mein papa ki anjuman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.