pachhtawa
ḳhuda-e-har-do-jahāñ ne jab aadmī ko pahle-pahal sazā dī
bahisht se jab use nikālā
to us ko baḳhshā gayā ye sāthī
ye aisā sāthī hai jo hamesha hī aadmī ke qarīñ rahā hai
tamām advār chhān Daalo
rivāyatoñ meñ hikāyatoñ meñ
azal se tārīḳh kah rahī hai
ki aadmī kī jabīñ hamesha nadāmatoñ se araq rahī hai
vo vaqt jab se ki aadmī ne
ḳhudā kī jannat meñ shajr-e-mamnūa chakh liyā
aur
sarkashī kī
tabhī se is phal kā ye kasīlā zā.iqa
aadmī ke kām-o-dahan meñ hir-phir ke aa rahā hai
magar nadāmat ke talḳh se zā.iqe se pahle gunāh kī be-panāh lazzat
KHuda-e-har-do-jahan ne jab aadmi ko pahle-pahal saza di
bahisht se jab use nikala
to us ko baKHsha gaya ye sathi
ye aisa sathi hai jo hamesha hi aadmi ke qarin raha hai
tamam adwar chhan Dalo
riwayaton mein hikayaton mein
azal se tariKH kah rahi hai
ki aadmi ki jabin hamesha nadamaton se araq rahi hai
wo waqt jab se ki aadmi ne
KHuda ki jannat mein shajr-e-mamnua chakh liya
aur
sarkashi ki
tabhi se is phal ka ye kasila zaiqa
aadmi ke kaam-o-dahan mein hir-phir ke aa raha hai
magar nadamat ke talKH se zaiqe se pahle gunah ki be-panah lazzat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.