pachhtawa
ye kis dayār meñ le aa.ī zindagī mujh ko
jahāñ pe phuul se chehre babūl lagte haiñ
jahāñ pe saaya bhī lagtā hai dhuup kī mānind
nasīm chaltī hai ruk ruk ke aise siine meñ
ki jaise phāñs kisī yaad kī aTaktī ho
jahāñ pe abr bhī sūraj-misāl lagtā hai
jahāñ kiran kī zarb zaḳhm-e-dil khurachtī hai
khile jo phuul to pattī se choT lagtī hai
ye dahr vo hai jidhar bād-e-ḳhush-gavār-e-sahar
darīche khol ke yādoñ ke aah bhartī hai
har ek chehre pe āvezāñ aañkh hai lekin
kisī nazar meñ koī rang-e-āshnā.ī nahīñ
kisī kā lams bhī poroñ ke rāste dil meñ
diye jalātā nahīñ is qadar añdherā hai
ye kis dayar mein le aai zindagi mujh ko
jahan pe phul se chehre babul lagte hain
jahan pe saya bhi lagta hai dhup ki manind
nasim chalti hai ruk ruk ke aise sine mein
ki jaise phans kisi yaad ki aTakti ho
jahan pe abr bhi suraj-misal lagta hai
jahan kiran ki zarb zaKHm-e-dil khurachti hai
khile jo phul to patti se choT lagti hai
ye dahr wo hai jidhar baad-e-KHush-gawar-e-sahar
dariche khol ke yaadon ke aah bharti hai
har ek chehre pe aawezan aankh hai lekin
kisi nazar mein koi rang-e-ashnai nahin
kisi ka lams bhi poron ke raste dil mein
diye jalata nahin is qadar andhera hai
- Book : Email by azraa naqvii
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.