har-dam achchhā kaam kareñge
paḌh-likh kar ham naam kareñge
allāh se māñgeñge duā.eñ
pā.eñge rahmat kī fazā.eñ
rahmat ko ham aam kareñge
paḌh-likh kar ham naam kareñge
kab hai ham ko sab pe bharosa
ham ko hai bas rab pe bharosa
kaam ye sub.h o shaam kareñge
paḌh-likh kar ham naam kareñge
sab ke liye socheñge bhalā.ī
kabhī na hogī ham se burā.ī
sadā ham achchhe kaam kareñge
paḌh-likh kar ham naam kareñge
kareñge ham sab baḌoñ kī izzat
pā.eñge ham sab se shafqat
nekī ham har gaam kareñge
paḌh-likh kar ham naam kareñge
har-dam achchha kaam karenge
paDh-likh kar hum nam karenge
allah se mangenge duaen
paenge rahmat ki fazaen
rahmat ko hum aam karenge
paDh-likh kar hum nam karenge
kab hai hum ko sab pe bharosa
hum ko hai bas rab pe bharosa
kaam ye subh o sham karenge
paDh-likh kar hum nam karenge
sab ke liye sochenge bhalai
kabhi na hogi hum se burai
sada hum achchhe kaam karenge
paDh-likh kar hum nam karenge
karenge hum sab baDon ki izzat
paenge hum sab se shafqat
neki hum har gam karenge
paDh-likh kar hum nam karenge
- Book : Khushboo Khushboo Nazmen Apni (Pg. 57)
- Author : Ata Abidi
- Publication : Book Emporium,Urdu Bazar Sabzi Bagh, Patna (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.