padmani
andalīboñ ko milī āh-o-bukā kī tālīm
aur parvānoñ ko dī soz-e-vafā kī tālīm
jab har ik chiiz ko qudrat ne atā kī tālīm
aa.ī hisse meñ tire zauq-e-fanā kī tālīm
narm o nāzuk tujhe aazā diye jalne ke liye
dil diyā aag ke sholoñ pe pighalne ke liye
rañg tasvīr ke parde meñ jo chamkā terā
ḳhud-ba-ḳhud luuT gayā jalva-e-rānā terā
Dhaal kar kāl-bud-nūr meñ putlā terā
yad-e-qudrat ne banāyā jo sarāpā terā
bhar diyā kuuT ke soz-e-ġham-e-shauhar dil meñ
rakh diyā chiir ke ik shola-e-muztar dil meñ
tū vo thī sham.a ki parvāna banāyā tujh ko
tū vo lailā thī ki dīvāna banāyā tujh ko
raunaq-e-ḳhavlat-e-shāhāna banāyā tujh ko
nāzish-e-himāt-e-mardāna banāyā tujh ko
naaz aayā tire hisse meñ adā bhī aa.ī
jāñ-faroshī bhii, mohabbat bhii, vafā bhii, aa.ī
aa.ī duniyā meñ jo tū husn meñ yaktā ban kar
chaman-e-dahr meñ phūlī gul-e-rānā ban kar
rahī maañ baap kī āñkhoñ kā jo taarā ban kar
dil-e-shauhar meñ rahī ḳhāl-e-suvaidā ban kar
Husn-e-ḳhidmat se shagufta dil-e-shauhar rakkhā
ki qadam jāda-e-tā.at se na bāhar rakkhā
terī fitrat meñ muravvat bhī thī ġham-ḳhvārī bhī
terī sūrat meñ adā bhī tarah-dārī bhī
jalva-e-husn meñ shāmil thī niko-kārī bhī
dard aayā tire hisse meñ, to ḳhuddārī bhī
aag par bhī na tujhe aah machalte dekhā
tapish-e-husn ko pahlū na badalte dekhā
tū vo ismat kī thī o ā.īna-sīmā tasvīr
husn-e-sīrat se thī terī mutajalā tasvīr
laakh tasvīroñ se thī ik tirī zebā tasvīr
tujh ko qudrat ne banāyā thā sarāpā tasvīr
nuur hī nuur tire jalva-e-mastūr meñ thā
anjum-e-nāz kā jhurmuT ruḳh-e-pur-nūr meñ thā
lab meñ ejaaz hayā chashm-e-fusūñ-sāz meñ thī
ki qayāmat kī adā tere har andāz meñ thī
shakl phirtī jo tirī dīda-e-ġhammāz meñ thī
barq-e-betāb tirī jalva-gāh-e-nāz meñ thī
ye vo bijlī thī qayāmat kī taḌap thī jis meñ
shola-e-nār-e-uqūbat kī taḌap thī jis meñ
ye vo bijlī thī jo teġh-e-sharar-afshāñ ho kar
kauñd uThī qila-e-chittauḌ meñ jaulāñ ho kar
ye vo bijlī thī jo soz-e-ġham-e-hirmāñ ho kar
ḳhaak sī loT ga.ī terī pashīmāñ ho kar
ye vo bijlī thī tujhe jis ke asar ne phūñkā
rafta rafta tapish-e-soz-e-jigar ne phūñkā
aah o ishva o andāz o adā kī devī
aah o hind ke nāmūs-e-vafā kī devī
aah o partav-e-anvār-e-safā kī devī
o ziyārat-kada-e-sharm-o-hayā kī devī
terī taqdīs kā qaa.el hai zamāna ab tak
terī iffat kā zabāñ par hai fasāna ab tak
āfrīñ hai tirī jāñ-bāzī o himmat ke liye
āfrīñ hai tirī iffat tirī ismat ke liye
kyā miTā.egā zamāna tirī shohrat ke liye
ki chalī aatī hai ik ḳhalq ziyārat ke liye
naqsh ab tak tirī azmat kā hai baiThā dil meñ
tū vo devī hai, tirā lagtā hai mela dil meñ
andalibon ko mili aah-o-buka ki talim
aur parwanon ko di soz-e-wafa ki talim
jab har ek chiz ko qudrat ne ata ki talim
aai hisse mein tere zauq-e-fana ki talim
narm o nazuk tujhe aaza diye jalne ke liye
dil diya aag ke sholon pe pighalne ke liye
rang taswir ke parde mein jo chamka tera
KHud-ba-KHud luT gaya jalwa-e-rana tera
Dhaal kar kal-bud-nur mein putla tera
yad-e-qudrat ne banaya jo sarapa tera
bhar diya kuT ke soz-e-gham-e-shauhar dil mein
rakh diya chir ke ek shola-e-muztar dil mein
tu wo thi shama ki parwana banaya tujh ko
tu wo laila thi ki diwana banaya tujh ko
raunaq-e-KHawlat-e-shahana banaya tujh ko
nazish-e-himat-e-mardana banaya tujh ko
naz aaya tere hisse mein ada bhi aai
jaan-faroshi bhi, mohabbat bhi, wafa bhi, aai
aai duniya mein jo tu husn mein yakta ban kar
chaman-e-dahr mein phuli gul-e-rana ban kar
rahi man bap ki aankhon ka jo tara ban kar
dil-e-shauhar mein rahi KHal-e-suwaida ban kar
Husn-e-KHidmat se shagufta dil-e-shauhar rakkha
ki qadam jada-e-taat se na bahar rakkha
teri fitrat mein murawwat bhi thi gham-KHwari bhi
teri surat mein ada bhi tarah-dari bhi
jalwa-e-husn mein shamil thi niko-kari bhi
dard aaya tere hisse mein, to KHuddari bhi
aag par bhi na tujhe aah machalte dekha
tapish-e-husn ko pahlu na badalte dekha
tu wo ismat ki thi o aaina-sima taswir
husn-e-sirat se thi teri mutajala taswir
lakh taswiron se thi ek teri zeba taswir
tujh ko qudrat ne banaya tha sarapa taswir
nur hi nur tere jalwa-e-mastur mein tha
anjum-e-naz ka jhurmuT ruKH-e-pur-nur mein tha
lab mein ejaz haya chashm-e-fusun-saz mein thi
ki qayamat ki ada tere har andaz mein thi
shakl phirti jo teri dida-e-ghammaz mein thi
barq-e-betab teri jalwa-gah-e-naz mein thi
ye wo bijli thi qayamat ki taDap thi jis mein
shola-e-nar-e-uqubat ki taDap thi jis mein
ye wo bijli thi jo tegh-e-sharar-afshan ho kar
kaund uThi qila-e-chittauD mein jaulan ho kar
ye wo bijli thi jo soz-e-gham-e-hirman ho kar
KHak si loT gai teri pashiman ho kar
ye wo bijli thi tujhe jis ke asar ne phunka
rafta rafta tapish-e-soz-e-jigar ne phunka
aah o ishwa o andaz o ada ki dewi
aah o hind ke namus-e-wafa ki dewi
aah o partaw-e-anwar-e-safa ki dewi
o ziyarat-kada-e-sharm-o-haya ki dewi
teri taqdis ka qael hai zamana ab tak
teri iffat ka zaban par hai fasana ab tak
aafrin hai teri jaan-bazi o himmat ke liye
aafrin hai teri iffat teri ismat ke liye
kya miTaega zamana teri shohrat ke liye
ki chali aati hai ek KHalq ziyarat ke liye
naqsh ab tak teri azmat ka hai baiTha dil mein
tu wo dewi hai, tera lagta hai mela dil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.