pagli
batlātī hai aaj kī a.alā tahzīboñ kī azmat
dillī station par baiThī talḳh sī ek haqīqat
qaum ke Theke-dāroñ kā maz.haka uḌātī paglī
phaTe hue kapḌoñ meñ lipTī jūThan khātī paglī
chupke-chupke kuttoñ ko kuchh samjhātī hai shāyad
is samāj ke baare meñ kuchh batlātī hai shāyad
insānoñ ko haivānoñ se girā batātī paglī
phaTe hue kapḌoñ meñ lipTī jūThan khātī paglī
kaise kaise insānoñ se bharī huī hai duniyā
kaise kaise shaitānoñ se bharī huī hai duniyā
apnā phūlā peT dikhā kar hañsī uḌātī paglī
phaTe hue kapḌoñ meñ lipTī jūThan khātī paglī
batlati hai aaj ki aala tahzibon ki azmat
dilli station par baiThi talKH si ek haqiqat
qaum ke Theke-daron ka mazhaka uDati pagli
phaTe hue kapDon mein lipTi juThan khati pagli
chupke-chupke kutton ko kuchh samjhati hai shayad
is samaj ke bare mein kuchh batlati hai shayad
insanon ko haiwanon se gira batati pagli
phaTe hue kapDon mein lipTi juThan khati pagli
kaise kaise insanon se bhari hui hai duniya
kaise kaise shaitanon se bhari hui hai duniya
apna phula peT dikha kar hansi uDati pagli
phaTe hue kapDon mein lipTi juThan khati pagli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.