pahaDi ki aaKHiri sham
asia kī is vīrān pahāḌī par
maut ek ḳhāna-ba-dosh laḌkī kī tarah
ghuum rahī hai
merī raushnī
aur anaar ke daraḳhtoñ meñ
qazzāqoñ ke chāqū chamakte haiñ
aur sar par vo chāñd hai jo is
pahāḌī kā pahlā paiġhambar hai
is pahāḌī par fātima rahtī hai
us ke kapḌoñ meñ vo kabūtar haiñ
jo kabhī uḌ nahīñ sakte
ḳhudā ne hameñ ek ġhaar meñ
band kar diyā hai aur hamāre saroñ par
siyāh raat jaisā patthar rakh diyā hai
asia ki is viran pahaDi par
maut ek KHana-ba-dosh laDki ki tarah
ghum rahi hai
meri raushni
aur anar ke daraKHton mein
qazzaqon ke chaqu chamakte hain
aur sar par wo chand hai jo is
pahaDi ka pahla paighambar hai
is pahaDi par fatima rahti hai
us ke kapDon mein wo kabutar hain
jo kabhi uD nahin sakte
KHuda ne hamein ek ghaar mein
band kar diya hai aur hamare saron par
siyah raat jaisa patthar rakh diya hai
- Book : chahaar khvaab (Pg. 157)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.