Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahaDon ke beTe

Majeed Amjad

pahaDon ke beTe

Majeed Amjad

mire des un zamīnoñ ke beTe jahāñ sirf be-barg patthar haiñ sadiyoñ se tanhā

jahāñ sirf be-mehr mausam haiñ aur ek dardoñ sailāb hai umr-paimā

pahāḌoñ ke beTe

chamelī nikhrī huī pañkhuḌiyāñ sañg-e-ḳhārā ke reze

sajal dūdhiyā narm jism aur kaḌe khurdure sāñvle dil

shuāoñ havāoñ ke zaḳhmī

chaTānoñ se gir kar ḳhud apne qadmoñ miTTī meñ apnā vatan DhūñDte haiñ

vatan Dher ik an-mañjhe bartanoñ

jise zindagī ke pasīnoñ meñ Duubī huī mehnateñ dar-ba-dar DhūñDhtī haiñ

vatan vo musāfir añdherā

jo ūñche pahāḌoñ se girtī huī naddiyoñ ke kināroñ pe shādāb shahroñ meñ ruk kar

kisī āhanī chhat se uThtā dhuāñ ban gayā hai

nadī bhī zar-afshāñ dhuāñ bhī zar-afshāñ

magar pāniyoñ aur pasīnoñ ke anmol dhāre meñ jis dard mauj hai umr-paimā

zamīroñ ke qātil agar us ko parkheñ

to sīnoñ meñ kaalī chaTāneñ pighal jā.eñ!

mere des ki un zaminon ke beTe jahan sirf be-barg patthar hain sadiyon se tanha

jahan sirf be-mehr mausam hain aur ek dardon ka sailab hai umr-paima

pahaDon ke beTe

chameli ki nikhri hui pankhuDiyan sang-e-KHara ke reze

sajal dudhiya narm jism aur kaDe khurdure sanwle dil

shuaon hawaon ke zaKHmi

chaTanon se gir kar KHud apne hi qadmon ki miTTi mein apna watan DhunDte hain

watan Dher ek an-manjhe bartanon ka

jise zindagi ke pasinon mein Dubi hui mehnaten dar-ba-dar DhunDhti hain

watan wo musafir andhera

jo unche pahaDon se girti hui naddiyon ke kinaron pe shadab shahron mein ruk kar

kisi aahani chhat se uThta dhuan ban gaya hai

nadi bhi zar-afshan dhuan bhi zar-afshan

magar paniyon aur pasinon ke anmol dhaare mein jis dard ki mauj hai umr-paima

zamiron ke qatil agar us ko parkhen

to sinon mein kali chaTanen pighal jaen!

Source :
  • Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 407)
  • Author : Majiid Amjad
  • Edition : 2011

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now