pahchan
ik laash ko ik chaurāhe par
kuchh log khaḌe the ghere hue
lagtā thā tamāshā ho jaise
sab apnī apnī kahte the
murde kā patā batlāne lage
uf qaum kā ik me.amār hai ye
sab jhuuT baḌā ayyār hai ye
rahbar hai ye ik sālār hai ye
bakvās ki ik ġhaddār hai ye
afsos ki ik fankār hai ye
kyā ḳhuub are be-kār hai ye
nāgāh kahīñ se ik buḌhiyā
lāThī ke sahāre aage baḌhī
aur laash pe gir kar kahne lagī
logo ye merā beTā hai
ye mere jigar kā TukḌā hai
ye merī aañkh kā taarā hai
fāqoñ ne diyā hai is ko janam
ye sub.h-e-alam ye shām-e-sitam
ek lash ko ek chaurahe par
kuchh log khaDe the ghere hue
lagta tha tamasha ho jaise
sab apni apni kahte the
murde ka pata batlane lage
uf qaum ka ek meamar hai ye
sab jhuT baDa ayyar hai ye
rahbar hai ye ek salar hai ye
bakwas ki ek ghaddar hai ye
afsos ki ek fankar hai ye
kya KHub are be-kar hai ye
nagah kahin se ek buDhiya
laThi ke sahaare aage baDhi
aur lash pe gir kar kahne lagi
logo ye mera beTa hai
ye mere jigar ka TukDa hai
ye meri aankh ka tara hai
faqon ne diya hai is ko janam
ye subh-e-alam ye sham-e-sitam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.