pahchan
kahīñ tum milo to
masā.il ko uljhā huā chhoḌ kar ham
alā.eq kī zanjīr ko toḌ kar ham
chaleñ aur kunj-e-chaman meñ kahīñ
sāya-e-tāk meñ baiTh kar
bhūle-bisre zamānoñ kī bāteñ kareñ
aur ik dūsre ke ḳhad-o-ḳhāl meñ
apne kho.e hue naqsh pahchān kar
mahv-e-hairat raheñ
aur nargis kī sūrat
vahīñ jaḌ pakaḌ leñ
kahin tum milo to
masail ko uljha hua chhoD kar hum
alaeq ki zanjir ko toD kar hum
chalen aur kunj-e-chaman mein kahin
saya-e-tak mein baiTh kar
bhule-bisre zamanon ki baaten karen
aur ek dusre ke KHad-o-KHal mein
apne khoe hue naqsh pahchan kar
mahw-e-hairat rahen
aur nargis ki surat
wahin jaD pakaD len
- Book : sarabon ke sadaf (Pg. 97)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.