paheli
halkā-phulkā sā badan
buuTā sā qad
us pe ġharāre kā bojh
naak kī lauñg chamaktī huī hiire kī kanī
aur kānoñ meñ mahaktī huī taaza champā
aañkh par moTe se shīshe kī purānī ainak
gaal meñ paan dabā
ek āñchal meñ bañdhe thoḌe se TuuTe paise
nefe meñ aḌse hue note karāre do-chār
aur qamar-bañd meñ chābī kā vo bhārī guchchā
raat din ek hī kaam
ghar-girhastī meñ maze se masrūf
tum kahīñ pichhle janam shahd kī makkhī to na thiiñ
halka-phulka sa badan
buTa sa qad
us pe gharare ka bojh
nak ki laung chamakti hui hire ki kani
aur kanon mein mahakti hui taza champa
aankh par moTe se shishe ki purani ainak
gal mein pan daba
ek aanchal mein bandhe thoDe se TuTe paise
nefe mein aDse hue note karare do-chaar
aur qamar-band mein chabi ka wo bhaari guchcha
raat din ek hi kaam
ghar-girhasti mein maze se masruf
tum kahin pichhle janam shahd ki makkhi to na thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.