pahla jashn-e-azadi
Interesting Fact
15 August 1938
ai hind ke bāshindo aao ujḌā gulzār sajā Dāleñ
ab daur-e-ġhulāmī ḳhatm huā ik taaza jahāñ kī binā Dāleñ
ab hind kī aslī iid huī jo āzādī kī diid huī
paḌh paḌh ke namāz-e-āzādī ab rūThe huoñ ko manā Dāleñ
kashtī bhī na.ī dariyā bhī nayā sāhil bhī nayā mallāh bhī na.e
ab kar ke bharosa himmat par tūfān meñ raah banā Dāleñ
haiñ ranj-o-ḳhusūmat ik roḌā rāh-e-āzādī meñ ab bhī
ham rañj purāne duur kareñ bichhḌoñ ko gale se lagā Dāleñ
jo mulk thā sone kī chiḌiyā bandhan ne use pāmāl kiyā
ġhurbat ko yahāñ se duur kareñ phir duudh kī nahreñ banā Dāleñ
phir bos se yodhdhā paidā hoñ jo hind kī qismat jaag uThe
ik baar zamāne par sikka phir mādar-e-hind biThā Dāleñ
is būḌhe himāla parbat se phir nuur kā chashma-e-ahl uThe
is mel-o-mohabbat ke jal se har bāshī ko nahlā Dāleñ
ye hind kī āzādī goyā kul mashriq kī āzādī hai
phir mashriq mashriq ban jaa.e jo zulm ke daur miTā Dāleñ
'anvar' kī duā hai ai maulā phir hind kī qismat jaag uThe
bichhḌe aapas meñ mil jaa.eñ ham rūThe hue ko manā Dāleñ
ai hind ke bashindo aao ujDa gulzar saja Dalen
ab daur-e-ghulami KHatm hua ek taza jahan ki bina Dalen
ab hind ki asli id hui jo aazadi ki did hui
paDh paDh ke namaz-e-azadi ab ruThe huon ko mana Dalen
kashti bhi nai dariya bhi naya sahil bhi naya mallah bhi nae
ab kar ke bharosa himmat par tufan mein rah bana Dalen
hain ranj-o-KHusumat ek roDa rah-e-azadi mein ab bhi
hum ranj purane dur karen bichhDon ko gale se laga Dalen
jo mulk tha sone ki chiDiya bandhan ne use pamal kiya
ghurbat ko yahan se dur karen phir dudh ki nahren bana Dalen
phir bos se yodhdha paida hon jo hind ki qismat jag uThe
ek bar zamane par sikka phir madar-e-hind biTha Dalen
is buDhe himala parbat se phir nur ka chashma-e-ahl uThe
is mel-o-mohabbat ke jal se har bashi ko nahla Dalen
ye hind ki aazadi goya kul mashriq ki aazadi hai
phir mashriq mashriq ban jae jo zulm ke daur miTa Dalen
'anwar' ki dua hai ai maula phir hind ki qismat jag uThe
bichhDe aapas mein mil jaen hum ruThe hue ko mana Dalen
- Book : Mizraab (Kulliyat) (Pg. 185)
- Author : Prof. Ibne Kanwal
- Publication : Kitabi Duniya, Delhi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.