pahla KHuda
añdherā thā
chāroñ taraf maut
mañDlā rahī thī
nigāhoñ meñ
māyūsiyāñ bas ga.ī thiiñ
diloñ meñ
ka.ī ḳhauf ghar kar ga.e the
to us vaqt
ham ne
nihāyat aqīdat se
pahle ḳhudā ko pukārā
vo pahlā ḳhudā jis ne ham ko
añdheroñ se bāhar nikālā
ujāloñ kī ne.amat atā kī
magar ham use bhuul baiThe
kahāñ hai
vo pahlā ḳhudā ab kahāñ hai
chalo us ko DhūñDeñ
hameñ phir
zarūrat hai pahle ḳhudā kī
andhera tha
chaaron taraf maut
manDla rahi thi
nigahon mein
mayusiyan bas gai thin
dilon mein
kai KHauf ghar kar gae the
to us waqt
hum ne
nihayat aqidat se
pahle KHuda ko pukara
wo pahla KHuda jis ne hum ko
andheron se bahar nikala
ujalon ki neamat ata ki
magar hum use bhul baiThe
kahan hai
wo pahla KHuda ab kahan hai
chalo us ko DhunDen
hamein phir
zarurat hai pahle KHuda ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.