pahla KHutba
phir ik jamm-e-ġhafīr
ek maidān meñ
āsmāñ kī taraf der se tak rahā hai!
imra-ul-qais kī beTiyāñ
shā.irī kī zabāñ phir samajhne lagīñ
laplapātī zabāneñ
ḳhitābat kā jaadū jagāne lagīñ
vo ḳhudā-zādiyāñ muskurāne lagīñ
aur meloñ meñ phir bhiiḌ baḌhne lagī
koī mimbar se bolā
ki ai mere pyāro!
tumheñ apne agloñ kī umreñ lageñ
baaz aao safar se
kuchh ārām lo
qāfiloñ kī madhur ghanTiyāñ
ret ke silsile
us kī deñge gavāhī tumheñ
ham ne pahle kahā thā
gharoñ meñ raho
tum na maane to us kī sazā pā chuke
baaz aao abhī vaqt hai
be-karāñ niilī niilī ḳhalā
phir na mas.hūr kar de tumheñ
phir ek jamm-e-ghafir
ek maidan mein
aasman ki taraf der se tak raha hai!
imra-ul-qais ki beTiyan
shairi ki zaban phir samajhne lagin
laplapati zabanen
KHitabat ka jadu jagane lagin
wo KHuda-zadiyan muskurane lagin
aur melon mein phir bhiD baDhne lagi
koi mimbar se bola
ki ai mere pyaro!
tumhein apne aglon ki umren lagen
baz aao safar se
kuchh aaram lo
qafilon ki madhur ghanTiyan
ret ke silsile
us ki denge gawahi tumhein
hum ne pahle kaha tha
gharon mein raho
tum na mane to us ki saza pa chuke
baz aao abhi waqt hai
be-karan nili nili KHala
phir na mashur kar de tumhein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.