pahla manzar
sard yaḳh-basta mausamoñ kī naved
jaane kis kis ke naam aa.ī thī
kohar-ālūd thī fazā aisī
sub.h kuchh ūñghtī huī jaagī
us kī āġhosh se humaktā huā
ek sūraj qulāñcheñ bhartā huā
āsmān-e-fusūñ ke maidāñ meñ
shoḳh kirnoñ ko chheḌtā niklā
ho gayā ḳhitta-e-ufuq gul-rañg
maiñ thā mahbūs apne kamre meñ
daf.atan dekhtā huuñ nūr-e-karīm
hai khaḌā yaad ke darīche par
chand ma.asūm sā savāl liye
jhāñktā hai idhar udhar shashdar
dūsrā manzar
yaad hai february mahīna thā
nau shagufta na.ī bahār ke din
facebōk par mile the jab donoñ
us ne kī iltijā rifāqat kī
maiñ ne hañs kar use qubūl kiyā
garm sho.ala thā us ko phuul kiyā
us ne dil kā salām bhejā thā
maiñ ne jaañ kā payām bhejā thā
sard yaKH-basta mausamon ki nawed
jaane kis kis ke nam aai thi
kohar-alud thi faza aisi
subh kuchh unghti hui jagi
us ki aaghosh se humakta hua
ek suraj qulanchen bharta hua
aasman-e-fusun ke maidan mein
shoKH kirnon ko chheDta nikla
ho gaya KHitta-e-ufuq gul-rang
main tha mahbus apne kamre mein
dafatan dekhta hun nur-e-karim
hai khaDa yaad ke dariche par
chand masum sa sawal liye
jhankta hai idhar udhar shashdar
dusra manzar
yaad hai february mahina tha
nau shagufta nai bahaar ke din
facebook par mile the jab donon
us ne ki iltija rifaqat ki
main ne hans kar use qubul kiya
garm shoala tha us ko phul kiya
us ne dil ka salam bheja tha
main ne jaan ka payam bheja tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.