pahla patthar
sabā hamāre rafīqoñ se jā ke ye kahnā
ba-sad tashakkur-o-iḳhlās-o-husn-o-ḳhush-adabī
ki jo sulūk bhī ham par ravā huā us meñ
na koī ramz nihāñ hai, na koī bulajabī
hamāre vāste ye raat bhī muqaddar thī
ki harf aa.e sitāroñ pe be-charāgī kā
libās-e-chāk pe tohmat qabā-e-zarrīñ kī
dil-e-shikasta pe ilzām bad-dimāġhī kā
sabā jo raah meñ dushman mileñ to farmānā
ki ye to kuchh na kiyā ho sake to aur kare
ki apne dast-e-lahū-rañg par nazar Daale
ki apne da.avā-e-ma.asūmiyat pe ġhaur kare
hadīs hai ki usūlan gunāhgār na hoñ
gunāhgār pe patthar sambhālne vaale
aur apnī aañkh ke shahtīr par nazar rakkheñ
hamārī aañkh se kāñTe nikālne vaale
saba hamare rafiqon se ja ke ye kahna
ba-sad tashakkur-o-iKHlas-o-husn-o-KHush-adabi
ki jo suluk bhi hum par rawa hua us mein
na koi ramz nihan hai, na koi bulajabi
hamare waste ye raat bhi muqaddar thi
ki harf aae sitaron pe be-charagi ka
libas-e-chaak pe tohmat qaba-e-zarrin ki
dil-e-shikasta pe ilzam bad-dimaghi ka
saba jo rah mein dushman milen to farmana
ki ye to kuchh na kiya ho sake to aur kare
ki apne dast-e-lahu-rang par nazar Dale
ki apne dawa-e-masumiyat pe ghaur kare
hadis hai ki usulan gunahgar na hon
gunahgar pe patthar sambhaalne wale
aur apni aankh ke shahtir par nazar rakkhen
hamari aankh se kanTe nikalne wale
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Koh-e-nida) (Pg. 71)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.