pahli barf-bari
Interesting Fact
(February 1970)
nīlgūñ abr chhaTā
surma.ī shaam ke sūraj kī tilā.ī kirneñ
marmarīñ barf ke billor badan par barseñ
jhūmte peḌoñ kī bāhoñ meñ mahakte jhoñke
peñg sī le ke parī-chehra muñDeroñ kī jabīñ par umDe
dhuñd kī malgajī āġhosh meñ ḳhvābīda makānoñ kī chhatoñ ne apnī
chhātiyāñ khol ke añgḌā.iyāñ liiñ
zalzala thā ki mirā vahm thā kuchh thā jis se
thartharā uTThe mire haath aur in ke nīche
jhanjhanā uTThī thī yuuñ balcony kī reling
jaise baj uTheñ kisī saaz ke taar
aur maiñ lauT ke kamre meñ chalā aayā thā
ahmarīñ shaal meñ lipTī huī ik laḌkī ne
chaa.e kī pyālī mire haath meñ dete hue haule se kahā thā ab to
is sukūñ-zār meñ koī bhī nahīñ apne sivā
tum jinheñ rog samajhte the vo sab log ga.e
avvalīñ barf ke paḌte hī mirī kā har ghar
be-sadā chhoḌ ga.e is ke makīñ
shor kā naam nahīñ
ab to yuuñ chup na raho
jī meñ aayā thā ki us se kah duuñ
sab kahāñ tum to abhī tak ho yahāñ par lekin
jaane kyā soch ke ḳhāmosh rahā
nilgun abr chhaTa
surmai sham ke suraj ki tilai kirnen
marmarin barf ke billor badan par barsen
jhumte peDon ki bahon mein mahakte jhonke
peng si le ke pari-chehra munDeron ki jabin par umDe
dhund ki malgaji aaghosh mein KHwabida makanon ki chhaton ne apni
chhatiyan khol ke angDaiyan lin
zalzala tha ki mera wahm tha kuchh tha jis se
tharthara uTThe mere hath aur in ke niche
jhanjhana uTThi thi yun balcony ki reling
jaise baj uThen kisi saz ke tar
aur main lauT ke kamre mein chala aaya tha
ahmarin shaal mein lipTi hui ek laDki ne
chae ki pyali mere hath mein dete hue haule se kaha tha ab to
is sukun-zar mein koi bhi nahin apne siwa
tum jinhen rog samajhte the wo sab log gae
awwalin barf ke paDte hi meri ka har ghar
be-sada chhoD gae is ke makin
shor ka nam nahin
ab to yun chup na raho
ji mein aaya tha ki us se kah dun
sab kahan tum to abhi tak ho yahan par lekin
jaane kya soch ke KHamosh raha
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 229)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.