pahli kiran ka bojh
cigarette kā ek lambā kash aur khāñsī
ghūñT ghūñT chaa.e
pighalte ḳhvāboñ ke mom
gadle kāġhaz par duniyā ke āmāl kā piilā zahr
ham kitne achchhe the
jab hamārī piiTh ke nīche bistar thā
aao
chalo ā.īne se pūchheñ
abhī kitnā safar baaqī hai?
us ko to
ek hī javāb hai
apne chehroñ ko bardāsht karo
bāhar niklo
to mask lagānā mat bhūlo
cigarette ka ek lamba kash aur khansi
ghunT ghunT chae
pighalte KHwabon ke mom
gadle kaghaz par duniya ke aamal ka pila zahr
hum kitne achchhe the
jab hamari piTh ke niche bistar tha
aao
chalo aaine se puchhen
abhi kitna safar baqi hai?
us ko to
ek hi jawab hai
apne chehron ko bardasht karo
bahar niklo
to mask lagana mat bhulo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.