pahli kiran
koī mujh ko daur-e-zamān-o-makāñ se nikalne kī sūrat batā do
koī ye sujhā do ki hāsil hai kyā hastī-e-rā.egāñ se
ki ġhairoñ kī tahzīb kī ustuvārī kī ḳhātir
abas ban rahā hai hamārā lahū momyā.ī
maiñ us qaum kā fard huuñ jis ke hisse meñ mehnat hī mehnat hai nān-e-shabīna nahīñ hai
aur is par bhī ye qaum dil shaad hai shaukat-e-bāstāñ se
aur ab bhī hai ummīd-e-fardā kisī sāhir-e-be-nishāñ se
mirī jaañ shab-o-roz kī is mashaqqat se tañg aa gayā huuñ
maiñ is ḳhisht-kobī se uktā gayā huuñ
kahāñ haiñ vo duniyā kī taz.īn kī ārzūeñ
jinhoñ ne tujhe mujh se vābasta-tar kar diyā thā
tirī chhātiyoñ kī jū-e-shīr kyuuñ zahr kā ik samundar na ban jaa.e
jise pī ke so jaa.e nannhī sī jaañ
jo ik chhipkilī ban ke chimTī huī hai tere sīna-e-meharbāñ se
jo vāqif nahīñ tere dard-e-nihāñ se
ise bhī to zillat kī pābandagī ke liye āla-e-kār banñā paḌegā
bahut hai ki ham apne aabā kī āsūda-koshī kī pādāsh meñ
aaj be-dast-o-pā haiñ
is ā.inda nasloñ kī zanjīr-e-pā ko to ham toḌ Dāleñ
magar ai mirī tiira rātoñ kī sāthī
ye shahnā.iyāñ sun rahī ho
ye shāyad kisī ne masarrat kī pahlī kiran dekh paa.ī
nahīñ is darīche ke bāhar to jhāñko
ḳhudā kā janāza liye jā rahe haiñ farishte
usī sāhir-e-be-nishāñ kā
jo maġhrib kā aaqā thā mashriq kā aaqā nahīñ thā
ye insān kī bartarī ke na.e daur ke shādyāne haiñ sun lo
yahī hai na.e daur kā partav-e-avvalīñ bhī
uTho aur ham bhī zamāne kī taaza vilādat ke is jashn meñ
mil ke dhūmeñ machā.eñ
shuāoñ ke tūfān meñ be-mahābā nahā.eñ
koi mujh ko daur-e-zaman-o-makan se nikalne ki surat bata do
koi ye sujha do ki hasil hai kya hasti-e-raegan se
ki ghairon ki tahzib ki ustuwari ki KHatir
abas ban raha hai hamara lahu momyai
main us qaum ka fard hun jis ke hisse mein mehnat hi mehnat hai nan-e-shabina nahin hai
aur is par bhi ye qaum dil shad hai shaukat-e-bastan se
aur ab bhi hai ummid-e-farda kisi sahir-e-be-nishan se
meri jaan shab-o-roz ki is mashaqqat se tang aa gaya hun
main is KHisht-kobi se ukta gaya hun
kahan hain wo duniya ki tazin ki aarzuen
jinhon ne tujhe mujh se wabasta-tar kar diya tha
teri chhatiyon ki ju-e-shir kyun zahr ka ek samundar na ban jae
jise pi ke so jae nannhi si jaan
jo ek chhipkili ban ke chimTi hui hai tere sina-e-meharban se
jo waqif nahin tere dard-e-nihan se
ise bhi to zillat ki pabandagi ke liye aala-e-kar banna paDega
bahut hai ki hum apne aaba ki aasuda-koshi ki padash mein
aaj be-dast-o-pa hain
is aainda naslon ki zanjir-e-pa ko to hum toD Dalen
magar ai meri tera raaton ki sathi
ye shahnaiyan sun rahi ho
ye shayad kisi ne masarrat ki pahli kiran dekh pai
nahin is dariche ke bahar to jhanko
KHuda ka janaza liye ja rahe hain farishte
usi sahir-e-be-nishan ka
jo maghrib ka aaqa tha mashriq ka aaqa nahin tha
ye insan ki bartari ke nae daur ke shadyane hain sun lo
yahi hai nae daur ka partaw-e-awwalin bhi
uTho aur hum bhi zamane ki taza wiladat ke is jashn mein
mil ke dhumen machaen
shuaon ke tufan mein be-mahaba nahaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.