pahnai
chhe hazār barsoñ se ahl-e-dīn-o-dānish ne
baar baar koshish kī baar baar koshish kī
taaki sāmne vaalī us ḳhamosh khaa.ī par
koī pul banā sakte
koī pul banā sakte us ḳhamosh khaa.ī par
jis kī ek jānib ko roz-e-āfrīnash se
hairat aur dahshat meñ dam-ba-ḳhud haiñ istāda
kuchh shu.ūr ke Tiile
har anā ke Tiile se lā-anā kī ik Dhalvān
ik athāh sī Dhalvān be-panāh sī Dhalvān
ek dam khaḌī Dhalvān us ḳhalā meñ jhuktī hai
jis kī tah bhī hai ḳhālī
ik khulā dahāna sā jis kī tah bhī hai ḳhālī
be-muzāhamat vus.at be-vajūd maujūdī
ik rabūda ḳhuddārī ik ġhunūda bedārī
narm o guñg pahnā.ī
narm narm sannāTā guñg guñg pahnā.ī
narm o guñg pahnā.ī maañ hai un chaTānoñ kī
sar ba āsmāñ jin kī choTiyāñ chamaktī haiñ
chashmak-e-sharar ban kar
chashmak-e-sharar ban kar har faroġh-e-musta.ajal
is aziim vus.at ke ḳhvāb-nāk siine meñ
nuur kā jhamākā sā ho ke raakh bantā hai
raakh bantī hai patthar
vus.atoñ se jo ThiTkā bas vahī to patthar hai
saḳhtī-o-salābat kyā ḳhud meñ band ho jaanā
ye girah na khul jaa.e bas isī liye saḳhtī
narmiyoñ se Dartī hai
narmiyoñ se Dartī hai saḳhtiyoñ kī ye duniyā
vus.atoñ se Dartī hai tañgiyoñ kī ye duniyā
naddiyoñ se Dartī hai pattharoñ kī ye duniyā
dil se aql Dartī hai
narmiyoñ kī zad se hai saḳhtiyoñ meñ mahjūrī
khā.īyoñ kā ḳhamyāza choTiyoñ kī hai duurī
sarvaroñ meñ duurī hai ḳhud-saroñ meñ duurī hai
pattharoñ meñ duurī hai
is athāh khaa.ī se pattharoñ ko vahshat hai
be-ḳhudī kī vus.at se har ḳhudī pe dahshat hai
jab se ye chaTāneñ haiñ shor hai chaTānoñ meñ
khā.īyoñ pe pul bāñdho
khā.īyoñ pe pul bāñdho khā.īyoñ pe pul bāñdho
saḳhtiyoñ se saḳhtī tak narmiyoñ pe pul bāñdho
tañgiyoñ se tañgī tak vus.atoñ pe pul bāñdhūñ
bas ye sa.ī jaarī hai
chhe hazar barson se ahl-e-din-o-danish ne
bar bar koshish ki bar bar koshish ki
taki samne wali us KHamosh khai par
koi pul bana sakte
koi pul bana sakte us KHamosh khai par
jis ki ek jaanib ko roz-e-afrinash se
hairat aur dahshat mein dam-ba-KHud hain istada
kuchh shuur ke Tile
har ana ke Tile se la-ana ki ek Dhalwan
ek athah si Dhalwan be-panah si Dhalwan
ek dam khaDi Dhalwan us KHala mein jhukti hai
jis ki tah bhi hai KHali
ek khula dahana sa jis ki tah bhi hai KHali
be-muzahamat wusat be-wajud maujudi
ek rabuda KHuddari ek ghunuda bedari
narm o gung pahnai
narm narm sannaTa gung gung pahnai
narm o gung pahnai man hai un chaTanon ki
sar ba aasman jin ki choTiyan chamakti hain
chashmak-e-sharar ban kar
chashmak-e-sharar ban kar har farogh-e-mustajal
is azim wusat ke KHwab-nak sine mein
nur ka jhamaka sa ho ke rakh banta hai
rakh banti hai patthar
wusaton se jo ThiTka bas wahi to patthar hai
saKHti-o-salabat kya KHud mein band ho jaana
ye girah na khul jae bas isi liye saKHti
narmiyon se Darti hai
narmiyon se Darti hai saKHtiyon ki ye duniya
wusaton se Darti hai tangiyon ki ye duniya
naddiyon se Darti hai pattharon ki ye duniya
dil se aql Darti hai
narmiyon ki zad se hai saKHtiyon mein mahjuri
khaiyon ka KHamyaza choTiyon ki hai duri
sarwaron mein duri hai KHud-saron mein duri hai
pattharon mein duri hai
is athah khai se pattharon ko wahshat hai
be-KHudi ki wusat se har KHudi pe dahshat hai
jab se ye chaTanen hain shor hai chaTanon mein
khaiyon pe pul bandho
khaiyon pe pul bandho khaiyon pe pul bandho
saKHtiyon se saKHti tak narmiyon pe pul bandho
tangiyon se tangi tak wusaton pe pul bandhun
bas ye sai jari hai
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 37)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.