pahra
khiḌkiyāñ band huiiñ
naġhma-e-dīdār kī lai TuuT ga.ī
kho gayā dhund meñ ḳhāmoshī kī
khilkhilātī huī gul-rang sadā kā chehra
lag gayā rang kī lahroñ pe ye kaisā pahra
tairtī hai mirī majrūh samā.at meñ magar
gum-shuda naġhma-e-dīdār kī lai
dekhtī haiñ mirī be-nūr nigāheñ ab bhī
khilkhilātī huī gul-rang sadā kā chehra
mujh se kahtā hai jo sargoshī meñ
kyoñ koī rang kī lahroñ pe biThā.e pahrā
rang kī lahr to ik ḳhvāb hai ik naġhma hai
aur naġhme ko bhalā qaid kiyā hai kis ne
ḳhvāb ko bhī koī zanjīr pahnā saktā hai
khiDkiyan band huin
naghma-e-didar ki lai TuT gai
kho gaya dhund mein KHamoshi ki
khilkhilati hui gul-rang sada ka chehra
lag gaya rang ki lahron pe ye kaisa pahra
tairti hai meri majruh samaat mein magar
gum-shuda naghma-e-didar ki lai
dekhti hain meri be-nur nigahen ab bhi
khilkhilati hui gul-rang sada ka chehra
mujh se kahta hai jo sargoshi mein
kyon koi rang ki lahron pe biThae pahra
rang ki lahr to ek KHwab hai ek naghma hai
aur naghme ko bhala qaid kiya hai kis ne
KHwab ko bhi koi zanjir pahna sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.