paigham-e-id
sab kī ḳhushiyoñ kā nishāñ hai nām-e-'īd
pyaar kā paiġhām hai paiġhām-e-'īd
dil mohabbat ke nashe se chuur ho
nūr-e-haq se zindagī māmūr ho
zang ḳhud-ġharazī kā dil se duur ho
jashn-e-rāhat kā yaqīñ ho nām-e-'īd
'iid aa.e to har insāñ hañs paḌe
ranj kī barchhī na siine meñ gaḌe
aañkh patjhaḌ meñ bahāroñ se laḌe
sub.h kī tamhīd sī ho shām-e-'īd
jab suneñ āvāz-e-nāqūs-o-azāñ
ek ho mahsūs donoñ kī zabāñ
zamzam-o-gang-o-jaman hoñ ek jaañ
ektā apnī bane in'ām-e-'īd
haal kyā kahiye dil-e-bīmār kā
dil meñ jazba hī nahīñ īsār kā
dars de koī masīhā pyaar kā
pyaar ke sūraj se chamke nām-e-'īd
'iid kī ḳhushiyāñ ye lamhātī na hoñ
zaḳhm in ḳhushiyoñ ke bārātī na hoñ
'iid vo kyā jis meñ ḳhush sāthī na hoñ
sab ko yaksāñ hī mile in'ām-e-'īd
sab ki KHushiyon ka nishan hai nam-e-'id
pyar ka paigham hai paigham-e-'id
dil mohabbat ke nashe se chur ho
nur-e-haq se zindagi mamur ho
zang KHud-gharazi ka dil se dur ho
jashn-e-rahat ka yaqin ho nam-e-'id
'id aae to har insan hans paDe
ranj ki barchhi na sine mein gaDe
aankh patjhaD mein bahaaron se laDe
subh ki tamhid si ho sham-e-'id
jab sunen aawaz-e-naqus-o-azan
ek ho mahsus donon ki zaban
zamzam-o-gang-o-jaman hon ek jaan
ekta apni bane in'am-e-'id
haal kya kahiye dil-e-bimar ka
dil mein jazba hi nahin isar ka
dars de koi masiha pyar ka
pyar ke suraj se chamke nam-e-'id
'id ki KHushiyan ye lamhati na hon
zaKHm in KHushiyon ke baraati na hon
'id wo kya jis mein KHush sathi na hon
sab ko yaksan hi mile in'am-e-'id
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.