paigham
paiġhām havā laa.ī hai na jaane kidhar se
pattoñ pe ubhar aa.ī hai tahrīr kidhar se
jo dekhī hai laa.ī hai vo tasvīr kidhar se
ik raah pe vo aayā hai ik lambe safar se
mahmil meñ vo be-ḳhvāb hai aalam kī ḳhabar se
kyā dekhiye! kyā shakl huī zer-o-zabar se
ik vasl ke mausam meñ jahāñ jaag uThā hai
ghar-bār zamīñ kaun-o-makāñ jaag uThā hai
ḳhush ho ke vo āzurda-e-jāñ jaag uThā hai
kyā vaqt kī dahlīz pe dastak hai kisī kii?
soī huī duniyā ko sahar DhūñD rahī hai
is daur ko ik achchhī ḳhabar DhūñD rahī hai
paigham hawa lai hai na jaane kidhar se
patton pe ubhar aai hai tahrir kidhar se
jo dekhi hai lai hai wo taswir kidhar se
ek rah pe wo aaya hai ek lambe safar se
mahmil mein wo be-KHwab hai aalam ki KHabar se
kya dekhiye! kya shakl hui zer-o-zabar se
ek wasl ke mausam mein jahan jag uTha hai
ghar-bar zamin kaun-o-makan jag uTha hai
KHush ho ke wo aazurda-e-jaan jag uTha hai
kya waqt ki dahliz pe dastak hai kisi ki?
soi hui duniya ko sahar DhunD rahi hai
is daur ko ek achchhi KHabar DhunD rahi hai
- Book : TASTEER (Pg. 113)
- Author : Nasiir Ahmed Nasir
- Publication : Room No.1, 1st Floor, Awaan Plaza, Shadmaan Market, Lahore (Issue No. 3 October/December. 1997)
- Edition : Issue No. 3 October/December. 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.