terī tasvīr banāte hue
maiñ ne nazm mukammal kar lī hai
aur ḳhud ko adhūrā chhoḌ diyā hai
tum chāho
to mujhe mukammal kar saktī ho
apnī āñkhoñ meñ kājal lagāte hue
apne baal sañvārte hue
yā us vaqt
jab kamre meñ koī na ho
aur ā.īna
tumhāre haq meñ bayān dene se inkār kar de
teri taswir banate hue
main ne nazm mukammal kar li hai
aur KHud ko adhura chhoD diya hai
tum chaho
to mujhe mukammal kar sakti ho
apni aankhon mein kajal lagate hue
apne baal sanwarte hue
ya us waqt
jab kamre mein koi na ho
aur aaina
tumhaare haq mein bayan dene se inkar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.