pairahan-e-sharar
khaḌā hai kaun ye pairāhan-e-sharar pahne
badan hai chuur to māthe se ḳhuun jaarī hai
zamāna guzrā ki farhād o qais ḳhatm hue
ye kis pe ahl-e-jahāñ hukm-e-sañg-bārī hai
yahāñ to koī bhī shīrīñ adā-nigār nahīñ
yahāñ to koī bhī lailā badan-bahār nahīñ
ye kis ke naam pe zaḳhmoñ kī lāla-kārī hai
koī divāna hai letā hai sach kā naam ab tak
fareb-o-makr ko kartā nahīñ salām ab tak
hai baat saaf sazā is kī sañg-sārī hai
khaDa hai kaun ye pairahan-e-sharar pahne
badan hai chur to mathe se KHun jari hai
zamana guzra ki farhad o qais KHatm hue
ye kis pe ahl-e-jahan hukm-e-sang-bari hai
yahan to koi bhi shirin ada-nigar nahin
yahan to koi bhi laila badan-bahaar nahin
ye kis ke nam pe zaKHmon ki lala-kari hai
koi diwana hai leta hai sach ka nam ab tak
fareb-o-makr ko karta nahin salam ab tak
hai baat saf saza is ki sang-sari hai
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 197)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.