paisa
naqsh yaañ jis ke miyāñ haath lagā paise kā
us ne tayyār har ik ThāTh kiyā paise kā
ghar bhī pākīza imārat se banā paise kā
khānā ārām se khāne ko milā paise kā
kapḌā tan kā bhī milā zeb-fazā paise kā
jab huā paise kā ai dosto aa kar sanjog
ishrateñ paas huiiñ duur hue man ke rog
khaa.e jab māl-pūe duudh dahī mohan-bhog
dil ko ānand hue bhaag ga.e rog aur dhog
aisī ḳhūbī hai jahāñ aanā huā paise kā
saath ik dost ke ik din jo maiñ gulshan meñ gayā
vaañ ke sarv-o-suman-o-lāla-o-gul ko dekhā
pūchhā us se ki ye hai baaġh batāo kis kā
us ne tab gul kī tarah hañs diyā aur mujh se kahā
mehrbāñ mujh se ye tum pūchhā ho kyā paise kā
ye to kyā aur jo haiñ is se baḌe bāġh-o-chaman
haiñ khile kiyāriyoñ meñ nargis-o-nasrīn-o-suman
hauz favvāre haiñ bañgloñ meñ bhī parde chalvan
jā-ba-jā qumrī-o-bulbul kī sadā shor-afgan
vaañ bhī dekhā to faqat gul hai khilā paise kā
vaañ koī aayā liye ek murassā piñjḌā
laal dastār-o-dupaTTā bhī harā jūñ-totā
is meñ ik baiThī vo mainā ki ho bulbul bhī fidā
maiñ ne pūchhā ye tumhārā hai rahā vo chupkā
niklī minqār se mainā ke sadā paise kā
vaañ se niklā to makāñ ik nazar aayā aisā
dar-o-dīvār se chamke thā paḌā āb-e-talā
siim chūne kī jagah us kī thā īñToñ meñ lagā
vāh-vā kar ke kahā maiñ ne ye hogā kis kā
aql ne jab mujhe chupke se kahā paise kā
rūThā āshiq se jo māshūq koī haT kā bharā
aur vo minnat se kisī taur nahīñ hai mantā
ḳhūbiyāñ paise kī ai yaaro kahūñ maiñ kyā kyā
dil agar sañg se bhī us kā ziyāda thā kaḌā
mom-sā ho gayā jab naam sunā paise kā
jis ghaḌī hotī hai ai dosto paise kī numūd
har tarah hotī hai ḳhush-vaqti-o-ḳhūbī bahbūd
ḳhush-dilī tāzgī aur ḳhurmī kartī hai durūd
jo ḳhushī chāhiye hotī hai vahīñ aa maujūd
dekhā yaaro to ye hai aish-o-mazā paise kā
paise vaale ne agar baiTh ke logoñ meñ kahā
jaisā chāhūñ to makāñ vaisā hī Dālūñ banvā
harf-e-takrār kisī kī jo zabāñ par aayā
us ne banvā ke diyā jaldī se vaisā hī dikhā
us kā ye kaam hai ai dosto yā paise kā
naach aur raag kī bhī ḳhūb-sī tayyārī hai
husn hai naaz hai ḳhūbī hai tarah-dārī hai
rabt hai pyaar hai aur dostī hai yaarī hai
ġhaur se dekhā to sab aish kī bisyārī hai
ruup jis vaqt huā jalva-numā paise kā
daam meñ daam ke yaaro jo mirā dil hai asiir
is liye hotī hai ye merī zabāñ se taqrīr
jī meñ ḳhush rahtā hai aur dil bhī bahut aish-pazīr
jis qadar ho sakā maiñ ne kiyā tahrīr 'nazīr'
vasf aage maiñ likhūñ tā-ba-kujā paise kā
naqsh yan jis ke miyan hath laga paise ka
us ne tayyar har ek ThaTh kiya paise ka
ghar bhi pakiza imarat se bana paise ka
khana aaram se khane ko mila paise ka
kapDa tan ka bhi mila zeb-faza paise ka
jab hua paise ka ai dosto aa kar sanjog
ishraten pas huin dur hue man ke rog
khae jab mal-pue dudh dahi mohan-bhog
dil ko aanand hue bhag gae rog aur dhog
aisi KHubi hai jahan aana hua paise ka
sath ek dost ke ek din jo main gulshan mein gaya
wan ke sarw-o-suman-o-lala-o-gul ko dekha
puchha us se ki ye hai bagh batao kis ka
us ne tab gul ki tarah hans diya aur mujh se kaha
mehrban mujh se ye tum puchha ho kya paise ka
ye to kya aur jo hain is se baDe bagh-o-chaman
hain khile kiyariyon mein nargis-o-nasrin-o-suman
hauz fawware hain banglon mein bhi parde chalwan
ja-ba-ja qumri-o-bulbul ki sada shor-afgan
wan bhi dekha to faqat gul hai khila paise ka
wan koi aaya liye ek murassa pinjDa
lal dastar-o-dupaTTa bhi hara jun-tota
is mein ek baiThi wo maina ki ho bulbul bhi fida
main ne puchha ye tumhaara hai raha wo chupka
nikli minqar se maina ke sada paise ka
wan se nikla to makan ek nazar aaya aisa
dar-o-diwar se chamke tha paDa aab-e-tala
sim chune ki jagah us ki tha inTon mein laga
wah-wa kar ke kaha main ne ye hoga kis ka
aql ne jab mujhe chupke se kaha paise ka
ruTha aashiq se jo mashuq koi haT ka bhara
aur wo minnat se kisi taur nahin hai manta
KHubiyan paise ki ai yaro kahun main kya kya
dil agar sang se bhi us ka ziyaada tha kaDa
mom-sa ho gaya jab nam suna paise ka
jis ghaDi hoti hai ai dosto paise ki numud
har tarah hoti hai KHush-waqti-o-KHubi bahbud
KHush-dili tazgi aur KHurmi karti hai durud
jo KHushi chahiye hoti hai wahin aa maujud
dekha yaro to ye hai aish-o-maza paise ka
paise wale ne agar baiTh ke logon mein kaha
jaisa chahun to makan waisa hi Dalun banwa
harf-e-takrar kisi ki jo zaban par aaya
us ne banwa ke diya jaldi se waisa hi dikha
us ka ye kaam hai ai dosto ya paise ka
nach aur rag ki bhi KHub-si tayyari hai
husn hai naz hai KHubi hai tarah-dari hai
rabt hai pyar hai aur dosti hai yari hai
ghaur se dekha to sab aish ki bisyari hai
rup jis waqt hua jalwa-numa paise ka
dam mein dam ke yaro jo mera dil hai asir
is liye hoti hai ye meri zaban se taqrir
ji mein KHush rahta hai aur dil bhi bahut aish-pazir
jis qadar ho saka main ne kiya tahrir 'nazir'
wasf aage main likhun ta-ba-kuja paise ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.