pal bhar ka bahisht
ek vo pal jo shahr kī ḳhufiya muTThī meñ
jugnū ban kar
dhaḌak rahā hai
us kī ḳhātir
ham umroñ kī nīndeñ kāTte rahte haiñ
ye vo pal hai
jis ko chhū kar
tum duniyā kī sab se dilkash
lazzat se labrez ik aurat ban jaatī ho
aur maiñ ek bahādur mard
ham donoñ aadam aur havvā
pal ke bahisht meñ rahte haiñ
aur phir tum vahī Darī Darī sī
basoñ pe chaḌhne vālī, aam sī aurat
aur maiñ dhakke khātā bojh uThātā
aam sā mard
donoñ shahr ke
chīḳhte dahāḌte rastoñ par
pal bhar ruk kar
phir us pal kā ḳhvāb banāte rahte haiñ
ek wo pal jo shahr ki KHufiya muTThi mein
jugnu ban kar
dhaDak raha hai
us ki KHatir
hum umron ki ninden kaTte rahte hain
ye wo pal hai
jis ko chhu kar
tum duniya ki sab se dilkash
lazzat se labrez ek aurat ban jati ho
aur main ek bahadur mard
hum donon aadam aur hawwa
pal ke bahisht mein rahte hain
aur phir tum wahi Dari Dari si
bason pe chaDhne wali, aam si aurat
aur main dhakke khata bojh uThata
aam sa mard
donon shahr ke
chiKHte dahaDte raston par
pal bhar ruk kar
phir us pal ka KHwab banate rahte hain
- Book : Pakistani Adab (Pg. 155)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.