pan chakki
nahr par chal rahī hai pan-chakkī
dhun kī puurī hai kaam kī pakkī
baiThtī tū nahīñ kabhī thak kar
tere pahiye ko hai sadā chakkar
pīsne meñ lagī nahīñ kuchh der
tū ne jhaT-paT lagā diyā ik Dher
log le jā.eñge sameT sameT
terā aaTā bharegā kitne peT
bhar ke laate haiñ gāḌiyoñ meñ anaaj
shahr ke shahr haiñ tire muhtāj
tū baḌe kaam kī hai ai chakkī!
kaam ko kar rahī hai tai chakkī
ḳhatm terā safar nahīñ hotā
nahīñ hotā magar nahīñ hotā
paanī har vaqt bahtā hai dhal-dhal
jo ghumātā hai aa ke terī kal
kyā tujhe chain hī nahīñ aatā
kaam jab tak nibaḌ nahīñ jaatā
meñh barastā ho yā chale āñdhī
tū ne chalne kī shart hai bāñdhī
tū baḌe kaam kī hai ai chakkī!
mujh ko bhātī hai terī lai chakkī!
ilm sīkho sabaq paḌho bachcho
aur aage chalo baḌho bachcho
khelne kūdne kā mat lo naam
kaam jab tak ki ho na jaa.e tamām
jab nibaḌ jaa.e kaam tab hai maza
khelne khāne aur sone kā
dil se mehnat karo ḳhushī ke saath
na ki uktā ke ḳhāmushī ke saath
dekh lo chal rahī hai pan-chakkī
dhun kī puurī hai kaam kī pakkī
nahr par chal rahi hai pan-chakki
dhun ki puri hai kaam ki pakki
baiThti tu nahin kabhi thak kar
tere pahiye ko hai sada chakkar
pisne mein lagi nahin kuchh der
tu ne jhaT-paT laga diya ek Dher
log le jaenge sameT sameT
tera aaTa bharega kitne peT
bhar ke late hain gaDiyon mein anaj
shahr ke shahr hain tere muhtaj
tu baDe kaam ki hai ai chakki!
kaam ko kar rahi hai tai chakki
KHatm tera safar nahin hota
nahin hota magar nahin hota
pani har waqt bahta hai dhal-dhal
jo ghumata hai aa ke teri kal
kya tujhe chain hi nahin aata
kaam jab tak nibaD nahin jata
meinh barasta ho ya chale aandhi
tu ne chalne ki shart hai bandhi
tu baDe kaam ki hai ai chakki!
mujh ko bhati hai teri lai chakki!
ilm sikho sabaq paDho bachcho
aur aage chalo baDho bachcho
khelne kudne ka mat lo nam
kaam jab tak ki ho na jae tamam
jab nibaD jae kaam tab hai maza
khelne khane aur sone ka
dil se mehnat karo KHushi ke sath
na ki ukta ke KHamushi ke sath
dekh lo chal rahi hai pan-chakki
dhun ki puri hai kaam ki pakki
- Book : Bchchaun ke ismail meruthi (Pg. 120)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.