Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pandrah august

Mahmood Zaki

pandrah august

Mahmood Zaki

MORE BYMahmood Zaki

    aaj hai pañdrah august qaum ke tehvār din

    aaj ke din to āzād hue the ham log

    kyoñ na is din ko masarrat ke liye vaqf rakheñ

    haañ isī din to ġhulāmī fusūñ toḌā thā

    kyoñ na is din ko rivāyat ke liye vaqf rakheñ

    des meñ apne haiñ baaqī kuchh añdhere ab bhī

    jehl-o-iflās ke saa.e haiñ ghanere ab bhī

    des āzād hue kitne baras biit ga.e

    kitnī shāmoñ ko mile haiñ na savere ab bhī

    des ke amn nahīñ amn-e-jahāñ ḳhātir

    haañ abhī aur abhī aur laḌeñge ham log

    aaj ke din masarrat ke bhī ma.anī haiñ yahī

    tāza-dam ho ke abhī aur baḌheñge ham log

    aaj hai pandrah august qaum ke tehwar ka din

    aaj ke din hi to aazad hue the hum log

    kyon na is din ko masarrat ke liye waqf rakhen

    han isi din to ghulami ka fusun toDa tha

    kyon na is din ko riwayat ke liye waqf rakhen

    des mein apne hain baqi kuchh andhere ab bhi

    jehl-o-iflas ke sae hain ghanere ab bhi

    des aazad hue kitne baras bit gae

    kitni shamon ko mile hain na sawere ab bhi

    des ke amn nahin amn-e-jahan ki KHatir

    han abhi aur abhi aur laDenge hum log

    aaj ke din ki masarrat ke bhi mani hain yahi

    taza-dam ho ke abhi aur baDhenge hum log

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now