pandrah august
ahinsā kī shamshīr chamkī isī din
ġhulāmī kī zanjīr TuuTī isī din
gulistāñ kī taqdīr badlī isī din
uTho aaj ḳhushiyoñ ke ham giit gaa.eñ
chalo apnī dhartī ko dulhan banā.eñ
khule kaise kaise bharam dushmanoñ ke
rahe phir na baaqī sitam dushmanoñ ke
miTe is zamīñ se qadam dushmanoñ ke
uTho aaj ḳhushiyoñ ke ham giit gaa.eñ
chalo apnī dhartī ko dulhan banā.eñ
isī din kī ḳhātir baḌe ġham uThā.e
zamīñ āsmāñ ke qulābe milā.e
zarā bhī na apne qadam Dagmagā.e
uTho aaj ḳhushiyoñ ke ham giit gaa.eñ
chalo apnī dhartī ko dulhan banā.eñ
ye vo din hai ham jis kī barakat ko samjheñ
yahī din hai vo jis kī qīmat ko samjheñ
yahī din hai vo jis kī azmat ko samjheñ
uTho aaj ḳhushiyoñ ke ham giit gaa.eñ
chalo apnī dhartī ko dulhan banā.eñ
tirañge ko ham aur ūñchā uThā deñ
charāġhoñ se har bām-o-dar ko sajā deñ
zamāne ko ye sarḳhushī bhī dikhā deñ
uTho aaj ḳhushiyoñ ke ham giit gaa.eñ
chalo apnī dhartī ko dulhan banā.eñ
ahinsa ki shamshir chamki isi din
ghulami ki zanjir TuTi isi din
gulistan ki taqdir badli isi din
uTho aaj KHushiyon ke hum git gaen
chalo apni dharti ko dulhan banaen
khule kaise kaise bharam dushmanon ke
rahe phir na baqi sitam dushmanon ke
miTe is zamin se qadam dushmanon ke
uTho aaj KHushiyon ke hum git gaen
chalo apni dharti ko dulhan banaen
isi din ki KHatir baDe gham uThae
zamin aasman ke qulabe milae
zara bhi na apne qadam Dagmagae
uTho aaj KHushiyon ke hum git gaen
chalo apni dharti ko dulhan banaen
ye wo din hai hum jis ki barakat ko samjhen
yahi din hai wo jis ki qimat ko samjhen
yahi din hai wo jis ki azmat ko samjhen
uTho aaj KHushiyon ke hum git gaen
chalo apni dharti ko dulhan banaen
tirange ko hum aur uncha uTha den
charaghon se har baam-o-dar ko saja den
zamane ko ye sarKHushi bhi dikha den
uTho aaj KHushiyon ke hum git gaen
chalo apni dharti ko dulhan banaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.