Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pandrah august

Laiq Siddiqi

pandrah august

Laiq Siddiqi

MORE BYLaiq Siddiqi

    mausam bahut hasīñ hai fazā ḳhush-gavār hai

    har rang ko mizāj-e-chaman sāzgār hai

    kaliyoñ pe hai shabāb guloñ par nikhār hai

    ye pandrah august din yādgār hai

    ye din hamāre vāste yaum-e-najāt hai

    ab vāqa.ī hayāt hamārī hayāt hai

    har ik meñ bhā.ī-chāra hai har ik meñ pyaar hai

    ye pandrah august din yādgār hai

    bād-e-nasīm amn paiġhām laa.ī hai

    hāthoñ pe ektā ke bhare jaam laa.ī hai

    āzādī-e-vatan diloñ meñ ḳhumār hai

    ye pandrah august din yādgār hai

    dekhī jo mulk-bhar meñ tirange raushnī

    surḳhī chamak uThī hai shahīdoñ ke ḳhuun

    jo phuul hai chaman adā par nisār hai

    ye pandrah august din yādgār hai

    āzād aaj ham haiñ ye har ik ko ho yaqīn

    bhārat meñ zaat paat ke jhagḌe na hoñ kahīñ

    us sā.at-e-hasīñ 'la.īq' intizār hai

    ye pandrah august din yādgār hai

    mausam bahut hasin hai faza KHush-gawar hai

    har rang ko mizaj-e-chaman sazgar hai

    kaliyon pe hai shabab gulon par nikhaar hai

    ye pandrah august ka din yaadgar hai

    ye din hamare waste yaum-e-najat hai

    ab waqai hayat hamari hayat hai

    har ek mein bhai-chaara hai har ek mein pyar hai

    ye pandrah august ka din yaadgar hai

    baad-e-nasim amn ka paigham lai hai

    hathon pe ekta ke bhare jam lai hai

    aazadi-e-watan ka dilon mein KHumar hai

    ye pandrah august ka din yaadgar hai

    dekhi jo mulk-bhar mein tirange ki raushni

    surKHi chamak uThi hai shahidon ke KHun ki

    jo phul hai chaman ki ada par nisar hai

    ye pandrah august ka din yaadgar hai

    aazad aaj hum hain ye har ek ko ho yaqin

    bhaarat mein zat pat ke jhagDe na hon kahin

    us saat-e-hasin ka 'laiq' intizar hai

    ye pandrah august ka din yaadgar hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now