Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pandrah august

Nazeer Banarasi

pandrah august

Nazeer Banarasi

ghaTā hai ghanghor raat kaalī fazā meñ bijlī chamak rahī hai

milan siina ubhār par hai birah chhātī dhaḌak rahī hai

havā jo mastī meñ chuur ho kar qadam qadam par bahak rahī hai

kamar hai har shāḳh-e-gul nāzuk Thahar Thahar kar lachak rahī hai

havā pe chaltā hai hukm in ghaTā.eñ bhartī haiñ in paanī

inhīñ se surḳhī bahār hai inhīñ se barsāt kahānī

inhīñ se chashme inhīñ se jharne inhīñ se jharnoñ naġhma-ḳhvānī

inhīñ se parbat inhīñ se dariyā inhīñ se dariyāoñ ravānī

fareb de kar chalī na jaa.eñ baḌī dhueñ-dhār haiñ ghaTā.eñ

jab aa ga.ī haiñ to jam ke barse baġhair barse na lauT jaa.eñ

mile nayā sab ko ek jīvan chaman khileñ khet lahlahā.eñ

havā mohabbat raag alāpe kisān dhartī ke giit gaa.eñ

yahāñ pe hai sab ek darja koī bhī chhoTā baḌā nahīñ hai

jahāñ pe ho imtiyāz is vo mai-kada mai-kada nahīñ hai

nikal zarā ghar se ġham ke maare urūs-e-fitrat ke kar nazāre

sazā samajh kar na kaaT pyāre ye zindagī hai sazā nahīñ hai

kiyā hai jis jis ne duur añdherā use use raushnī meñ laao

jahāñ jahāñ dafn hai ujālā vahāñ vahāñ par diye jalāo

qasam hai āzādī-e-vatan adāvat aapas bhuul jaao

kiyā ho jis ne gilā tumhārā use bhī baḌh kar gale lagāo

qadam jo aage baḌhā.e sab zabāñ se doharāo vo kahānī

'nazīr' pañdrah august se lo na.e irāde na.ī javānī

havā se kah do ki saaz chheḌe amar shahīdoñ ke bāñkpan

sunāo yaaro vatan ke naġhme ye din hai āzādī-e-vatan

ghaTa hai ghanghor raat kali faza mein bijli chamak rahi hai

milan ka sina ubhaar par hai birah ki chhati dhaDak rahi hai

hawa jo masti mein chur ho kar qadam qadam par bahak rahi hai

kamar hai har shaKH-e-gul ki nazuk Thahar Thahar kar lachak rahi hai

hawa pe chalta hai hukm in ka ghaTaen bharti hain in ka pani

inhin se surKHi bahaar ki hai inhin se barsat ki kahani

inhin se chashme inhin se jharne inhin se jharnon ki naghma-KHwani

inhin se parbat inhin se dariya inhin se dariyaon ki rawani

fareb de kar chali na jaen baDi dhuen-dhaar hain ghaTaen

jab aa gai hain to jam ke barse baghair barse na lauT jaen

mile naya sab ko ek jiwan chaman khilen khet lahlahaen

hawa mohabbat ka rag alape kisan dharti ke git gaen

yahan pe hai sab ka ek darja koi bhi chhoTa baDa nahin hai

jahan pe ho imtiyaz is ka wo mai-kada mai-kada nahin hai

nikal zara ghar se gham ke mare urus-e-fitrat ke kar nazare

saza samajh kar na kaT pyare ye zindagi hai saza nahin hai

kiya hai jis jis ne dur andhera use use raushni mein lao

jahan jahan dafn hai ujala wahan wahan par diye jalao

qasam hai aazadi-e-watan ki adawat aapas ki bhul jao

kiya ho jis ne gila tumhaara use bhi baDh kar gale lagao

qadam jo aage baDhae sab ki zaban se doharao wo kahani

'nazir' pandrah august se lo nae irade nai jawani

hawa se kah do ki saz chheDe amar shahidon ke bankpan ka

sunao yaro watan ke naghme ye din hai aazadi-e-watan ka

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 327)
  • Author : Nazeer Banarsi
  • Publication : Educational Publishing House (2014)
  • Edition : 2014

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now