panghaT ki rani
aa.ī vo panghaT kī devī, vo panghaT kī raanī
duniyā hai matvālī jis kī aur fitrat dīvānī
māthe par sindūrī Tiikā rañgīn o nūrānī
sūraj hai ākāsh meñ jis kī zau se pānī-pānī
chham-chham us ke bachhve boleñ jaise gaa.e paanī
aa.ī vo panghaT kī devī vo panghaT kī raanī
kānoñ meñ bele ke jhumke āñkheñ mai ke kaTore
gore ruḳh par til haiñ yā haiñ phāgun ke do bhañvre
komal komal us kī kalā.ī jaise kamal ke DanThal
nūr-e-sahar mastī meñ uThā.e jis kā bhīgā āñchal
fitrat ke mai-ḳhāne kī vo chaltī-phirtī botal
aa.ī vo panghaT kī devī vo panghaT kī raanī
rag-rag jis kī hai ik baajā aur nas-nas zanjīr
krishn murārī kī bansī hai yā arjun kā tiir
sar se pā tak shoḳhī kī vo ik rañgīñ tasvīr
panghaT bekul jis kī ḳhātir chanchal jamunā niir
jis kā rasta Tik-Tik dekhe sūraj sā rahgīr
aa.ī panghaT kī devī vo panghaT kī raanī
sar par ik pītal kī gāgar zohra ko sharmā.e
shauq-e-pā-bosī meñ jis se paanī chhalkā jaa.e
prem kā sāgar būñdeñ ban kar jhūmā umDā aa.e
sar se barse aur siine ke darpan ko chamkā.e
us darpan ko jis se javānī jhāñke aur sharmā.e
aa.ī panghaT kī devī vo panghaT kī raanī
aai wo panghaT ki dewi, wo panghaT ki rani
duniya hai matwali jis ki aur fitrat diwani
mathe par sinduri Tika rangin o nurani
suraj hai aakash mein jis ki zau se pani-pani
chham-chham us ke bachhwe bolen jaise gae pani
aai wo panghaT ki dewi wo panghaT ki rani
kanon mein bele ke jhumke aankhen mai ke kaTore
gore ruKH par til hain ya hain phagun ke do bhanwre
komal komal us ki kalai jaise kamal ke DanThal
nur-e-sahar masti mein uThae jis ka bhiga aanchal
fitrat ke mai-KHane ki wo chalti-phirti botal
aai wo panghaT ki dewi wo panghaT ki rani
rag-rag jis ki hai ek baja aur nas-nas zanjir
krishn murari ki bansi hai ya arjun ka tir
sar se pa tak shoKHi ki wo ek rangin taswir
panghaT bekul jis ki KHatir chanchal jamuna nir
jis ka rasta Tik-Tik dekhe suraj sa rahgir
aai panghaT ki dewi wo panghaT ki rani
sar par ek pital ki gagar zohra ko sharmae
shauq-e-pa-bosi mein jis se pani chhalka jae
prem ka sagar bunden ban kar jhuma umDa aae
sar se barse aur sine ke darpan ko chamkae
us darpan ko jis se jawani jhanke aur sharmae
aai panghaT ki dewi wo panghaT ki rani
- Book : kulliyat-e-saghar nizami (Pg. 326)
- Author : muzaffar hanfi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.