panting
khiḌkī se
nikalne vaale haath merā galā daboch sakte haiñ
tanhā.ī un kā kuchh nahīñ bigāḌ saktī
train se
merī laash mil saktī hai
tumhārī uñgliyoñ ke nishān
qabristān meñ
reñgne vaalī nazmoñ ke pair chhil ga.e haiñ
tumhāre siine par chalte chalte
koh-paimā pātāl meñ jā girtā hai
uupar
āsmān par
dil naqsh hotā hai
khiDki se
nikalne wale hath mera gala daboch sakte hain
tanhai un ka kuchh nahin bigaD sakti
train se
meri lash mil sakti hai
tumhaari ungliyon ke nishan
qabristan mein
rengne wali nazmon ke pair chhil gae hain
tumhaare sine par chalte chalte
koh-paima patal mein ja girta hai
upar
aasman par
dil naqsh hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.