panwaDi
būḌhā panvāḌī us ke bāloñ meñ maañg hai nyārī
āñkhoñ meñ jīvan kī bujhtī agnī kī chiñgārī
naam kī ik haTTī ke andar bosīda almārī
aage pītal ke taḳhte par us kī duniyā saarī
paan katthā cigarette tambākū chūnā lauñg supārī
umr us būḌhe panvāḌī kī paan lagāte guzrī
chūnā gholte chhāliyāñ kāTte kath pighlāte guzrī
cigarette kī ḳhālī Dibiyoñ ke mahal sajāte guzrī
kitne sharābī mushtriyoñ se nain milāte guzrī
chand kasīlī pattoñ kī gutthī suljhāte guzrī
kaun is gutthī ko suljhā.e duniyā ek pahelī
do din ek phaTī chādar meñ dukh kī āñdhī jhelī
do kaḌvī sāñseñ liiñ do chilmoñ kī raakh uñDelī
aur phir is ke ba.ad na pūchho khel jo honī khelī
panvāḌī kī arthī uTThī baabā allāh belī
sub.h bhajan kī taan manohar jhanan jhanan lahrā.e
ek chitā kī raakh havā ke jhoñkoñ meñ kho jaa.e
shaam ko us kā kam-sin baalā baiThā paan lagā.e
jhan jhan Than Than chūne vaalī kaTorī bajtī jaa.e
ek patiñgā dīpak par jal jaa.e dūsrā aa.e
buDha panwaDi us ke baalon mein mang hai nyari
aankhon mein jiwan ki bujhti agni ki chingari
nam ki ek haTTi ke andar bosida almari
aage pital ke taKHte par us ki duniya sari
pan kattha cigarette tambaku chuna laung supari
umr us buDhe panwaDi ki pan lagate guzri
chuna gholte chhaaliyan kaTte kath pighlate guzri
cigarette ki KHali Dibiyon ke mahal sajate guzri
kitne sharabi mushtriyon se nain milate guzri
chand kasili patton ki gutthi suljhate guzri
kaun is gutthi ko suljhae duniya ek paheli
do din ek phaTi chadar mein dukh ki aandhi jheli
do kaDwi sansen lin do chilmon ki rakh unDeli
aur phir is ke baad na puchho khel jo honi kheli
panwaDi ki arthi uTThi baba allah beli
subh bhajan ki tan manohar jhanan jhanan lahrae
ek chita ki rakh hawa ke jhonkon mein kho jae
sham ko us ka kam-sin baala baiTha pan lagae
jhan jhan Than Than chune wali kaTori bajti jae
ek patinga dipak par jal jae dusra aae
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 88)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.