paper-weight
paper-weight
Thos shīshe kā banā huā hai
jis ke andar
phuul haiñ
jaise samundar kī tah meñ
khilte haiñ
aaTh jal-pariyāñ haiñ
jo raqs kar rahī haiñ
paper-weight
is liye hai ki
kāġhaz ko havā kī zad se mahfūz rakhe
paper-weight
ek sayyāra hai
jis meñ log rahte baste haiñ
lekin paper-weight in sab bātoñ se be-ḳhabar hai
use to sirf
shā.erī kī aañkh ne zindagī dī
aur maar diyā
paper-weight
Thos shishe ka bana hua hai
jis ke andar
phul hain
jaise samundar ki tah mein
khilte hain
aaTh jal-pariyan hain
jo raqs kar rahi hain
paper-weight
is liye hai ki
kaghaz ko hawa ki zad se mahfuz rakhe
paper-weight
ek sayyara hai
jis mein log rahte baste hain
lekin paper-weight in sab baaton se be-KHabar hai
use to sirf
shaeri ki aankh ne zindagi di
aur mar diya
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 117)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.