parastar
vo jo kahlātā thā dīvāna tirā
vo jise hifz thā afsāna tirā
jis kī dīvāroñ pe āvezāñ thiiñ
tasvīreñ tirī
vo jo dohrātā thā
taqrīreñ tirī
vo jo ḳhush thā tirī ḳhushiyoñ se
tire ġham se udaas
duur rah ke jo samajhtā thā
vo hai tere paas
vo jise sajda tujhe karne se
inkār na thā
us ko dar-asl kabhī tujh se
koī pyaar na thā
us kī mushkil thī
ki dushvār the us ke raste
jin pe be-ḳhauf-o-ḳhatar
ghūmte rahzan the
sadā us kī anā ke dar pe
us ne ghabrā ke
sab apnī anā kī daulat
terī tahvīl meñ rakhvā dī thī
apnī zillat ko vo duniyā kī nazar
aur apnī bhī nigāhoñ se chhupāne ke liye
kāmyābī ko tirī
tirī futūhāt
tirī izzat ko
vo tire naam tirī shohrat ko
apne hone kā sabab jāntā thā
hai vajūd us kā judā tujh se
ye kab māntā thā
vo magar
pur-ḳhatar rāstoñ se aaj nikal aayā hai
vaqt ne tere barābar na sahī
kuchh na kuchh apnā karam us pe bhī farmāyā hai
ab use terī zarūrat hī nahīñ
jis kā da.avā thā kabhī
ab vo aqīdat hī nahīñ
terī tahvīl meñ jo rakkhī thī kal
us ne anā
aaj vo maañg rahā hai vāpas
baat itnī sī hai
ai sāhib-e-nām-o-shohrat
jis ko kal
tere ḳhudā hone se inkār na thā
vo kabhī terā parastār na thā
wo jo kahlata tha diwana tera
wo jise hifz tha afsana tera
jis ki diwaron pe aawezan thin
taswiren teri
wo jo dohraata tha
taqriren teri
wo jo KHush tha teri KHushiyon se
tere gham se udas
dur rah ke jo samajhta tha
wo hai tere pas
wo jise sajda tujhe karne se
inkar na tha
us ko dar-asl kabhi tujh se
koi pyar na tha
us ki mushkil thi
ki dushwar the us ke raste
jin pe be-KHauf-o-KHatar
ghumte rahzan the
sada us ki ana ke dar pe
us ne ghabra ke
sab apni ana ki daulat
teri tahwil mein rakhwa di thi
apni zillat ko wo duniya ki nazar
aur apni bhi nigahon se chhupane ke liye
kaamyabi ko teri
teri futuhat
teri izzat ko
wo tere nam teri shohrat ko
apne hone ka sabab jaanta tha
hai wajud us ka juda tujh se
ye kab manta tha
wo magar
pur-KHatar raston se aaj nikal aaya hai
waqt ne tere barabar na sahi
kuchh na kuchh apna karam us pe bhi farmaya hai
ab use teri zarurat hi nahin
jis ka dawa tha kabhi
ab wo aqidat hi nahin
teri tahwil mein jo rakkhi thi kal
us ne ana
aaj wo mang raha hai wapas
baat itni si hai
ai sahib-e-nam-o-shohrat
jis ko kal
tere KHuda hone se inkar na tha
wo kabhi tera parastar na tha
- Book : LAVA (Pg. 55)
- Author : Javed Akhtar
- Publication : Rajkamal Parakashan Pvt. Ltd (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.