parchhain
būḌhā ḳhush thā
pul par khaḌā huā
apnī parchhā.īñ ko jiyūñ kī tyuuñ dekh kar
paanī meñ
tabhī ek laḌkā
aayā aur us ne
Dhīlā de maarā
ab būḌhe kī udaas parchhā.iyāñ
kaañp rahī thiiñ
laḌke kī āñkhoñ meñ
paanī meñ nahīñ
lekin abhī laḌkā
us būḌhe kī tarah ḳhush nahīñ thā
aur na hī vo apnī parchhā.īñ
dekh rahā thā paanī meñ
vo to keval
un parchhā.iyoñ se abhī laḌ rahā thā
buDha KHush tha
pul par khaDa hua
apni parchhain ko jiyun ki tyun dekh kar
pani mein
tabhi ek laDka
aaya aur us ne
Dhila de mara
ab buDhe ki udas parchhaiyan
kanp rahi thin
laDke ki aankhon mein
pani mein nahin
lekin abhi laDka
us buDhe ki tarah KHush nahin tha
aur na hi wo apni parchhain
dekh raha tha pani mein
wo to kewal
un parchhaiyon se abhi laD raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.